2nd Jan 2022 Madeenah Fajr Sheikh Hameed

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 31. 12. 2021
  • Haramain Website:
    ► www.haramain.info ◄
    Haramain Facebook:
    ► / haramain.info ◄
    Haramain Twitter:
    ► / haramaininfo ◄
    Haramain Instagram:
    ► / haramain_info ◄
    Haramain Snapchat:
    ► haramaininfo ◄
    #Madinah #Hajj #Makkah #Madeenah #Madinah #Sudais #Haramain
    #Maahir #Budair #Maher #Shuraim #Hudhaify #Juhany #Ghazzawi
    #Baleelah #Hameed #Muhanna #Buayjaan #Fajr #Dhuhr #Asr #Maghrib #Isha

Komentáře • 9

  • @golammashrafilabib3192
    @golammashrafilabib3192 Před 2 lety +2

    Iqamah : Sheikh Iyad Shukry
    Ma Sha Allah Melodious Recitation
    Sheikh : Ahmad bin Taleb Hameed ❤️

  • @imrantaleb7666
    @imrantaleb7666 Před 2 lety

    Salam ma laykum may allah bless and ease the sufferings of the ummah and may allah protect the people of palestine and Afghanistan and Lebanon and syria and chinA and Kashmir and may allah protect the masjid al aqsa from oppressors and may allah unite the ummah upon the quran and sunnah and may allah destroy the enemies of Islam and may allah have mercy on all those that have passed away before us and may Allah have mercy on us when we pass away and may allah cure all those that have a sickness and a disability and that have corona and may allah grant them a cure that leaves no aliment and may allah protect the muslims from hellfire and from the fitnah of dajjal and may allah answer all our prayers and duas ameen

  • @shoaibmohhammad4160
    @shoaibmohhammad4160 Před 2 lety +1

    Dear harmaininfo
    This is sheikh hameed
    Not sheikh thubayty

  • @MuhammadAslam-ql5iu
    @MuhammadAslam-ql5iu Před rokem

    👍🏻

  • @murtezademir9575
    @murtezademir9575 Před 2 lety

    Üstad Hak'tealadan tek dileğim seninle tokalaşmak şerefine nail olabilmektir. Bu senede sıra gelmedi ve hacca gelemedik. Kısmet inşallah. Türkiyeden selam ve saygılar.

  • @QuranTranslators
    @QuranTranslators Před 2 lety

    **109. Jis roz Allah sab Rasoolon ko jamaa kar ke puchega ke tumhein kya jawab diya gaya hai, to woh arz karenge ke humein kuch ilm nahin; Aap hi tamaam posheeda (hidden) haqeeqaton ko jaante hain.**
    110. Phir tasawwur karo us mouqe ka jab Allah farmayega ke, “Aey Maryam ke bete Isa, yaad karo Meri us niyamat ko jo Maine tumhe aur tumhari maa ko ata ki thi. Maine rooh-e-paak se tumhari madad ki; tum gehware (cradle) mein bhi logon se baat karte the aur badi umar ko pahunch kar bhi.
    Maine tumko Kitab aur hikmat aur Taurat aur Injeel ki taleem di; tum Mere hukum se mithi ka putla parinde ki shakal ka banate aur us mein phoonkte the aur woh Mere hukum se parinda ban jata tha; tum madar-zaad (by birth) andhe (blind) aur kodhi (leper) ko Mere hukum se acha karte the; tum murdon ko Mere hukum se nikalte the.
    Phir jab tum bani Israel ke paas sareeh nishaniyan le kar pahunche aur jo log un mein se munkir e haqq the, unhone kaha ke yeh nishaniyan jaadugari ke siwa aur kuch nahin hain, to Maine hi tumhe unse bachaya.
    111. Aur jab Maine Hawariyon (disciples) ko ishara kiya ke Mujh par aur Mere Rasool par imaan lao, tab unhone kaha ke “hum imaan laye aur gawah raho ke hum muslim hain”.
    112. (Hawariyon ke silsile mein) Yeh waqiyah bhi yaad rahe ke jab Hawariyon ne kaha, “Aey Isa ibne Maryam, kya aap ka Rubb hum par aasman se khane ka ek khwan (table spread) utar sakta hai?” Toh Isa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ‎) ne kaha, “Allah se daro agar tum mo'min ho.”
    113. Unhone kaha, “hum bas yeh chahte hain ke is khwan se khana khayein aur humare dil mutmaeen (satisfied) hon aur humein maloom ho jaye ke aap ne jo kuch humse kaha hai woh sach hai aur hum is par gawah hon.”
    114. Is par Isa ibn-e-Maryam ne dua ki, “Aey Allah, Humare Rubb, Hum par aasman se ek khwan nazil kar jo humare liye aur humare aglon pichlon ke liye khushi ka mouqa qaraar paye aur (jo) Teri taraf se ek nishani ho; humko rizq de aur Tu behtareen Raziq hai”.
    115. Allah ne jawab diya, “Main usko tum par nazil karne Wala hoon, magar uske baad jo tum mein se kufr (كُفر) karega, use Main aisi saza dunga jo duniya mein kisi ko na di hogi”.
    *116. Gharz jab (yeh ehsanaat yaad dila kar) Allah farmayega ke, “aey Isa ibn-e-Maryam, kya tumne logon se kaha tha ke Khuda ke siwa mujhe aur meri maa ko bhi khuda bana lo?”*
    *To woh jawab mein arz karenge ke “Suban Allah! Mera yeh kaam na tha ke woh baat kehta jiske kehne ka mujhe haqq na tha; agar maine aisi baat kahi hoti, to Aapko zaroor ilm hota. Aap jaante hain jo kuch mere dil mein hai aur main nahin jaanta jo kuch Aap ke dil mein hai; Aap toh saari posheeda haqeeqaton ke Aalim hain.*
    117. Maine unse uske siwa kuch nahin kaha jiska Aap ne hukum diya tha, yeh ke Allah ki bandagi karo Jo mera Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi; main usi waqt tak unka nigraan tha jab tak ke main unke darmiyan tha; jab Aap ne mujhe wapas bula liya toh Aap un par nigraan the aur Aap to saari hi cheezon par Nigraan hain.
    118. Ab agar Aap unhein saza dein to woh Aap ke bande hain aur agar maaf kar dein toh Aap Ghalib aur Dana hain”.
    119. Tab Allah farmayega, “yeh woh din hai jis mein sachon ko unki sachayi nafa deti hai; unke liye aise baagh hain jinke neeche nehrein beh rahi hain, yahan woh humesha rahenge. Allah unse razi hua aur woh Allah se; yahi badi kamiyabi hai”.
    ***120. Zameeen aur aasmano aur tamaam maujoodaat ki badshahi Allah hi ke liye hai aur Woh har cheez par qudrat rakhta hai.***
    **||5. Surah Maidah||**
    _________________