Very Old Geet - Manzar Bhopali - Aag Ugalte Shaher, Jale Ghar . . .

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 30. 07. 2024
  • Very Old Geet
    Manzar Bhopali
    Aag ugalte shaher, jaley ghar aur tapte insaan
    Main kaise geet likhoon, main kaise geet likhoon
    Samay ki chakki pees rahi hai, sabhi ka qalam mahaan
    Main kaise geet likhoon, main kaise geet likhoon
    Bhai ka dushman bhai hua, aur apna hi ghar tootey
    Diwali har roz manaaein, deep jalake lahu ke
    Apne munh ka dhyan nahin, aur aasmaan par thookey
    Zaat dharam ki aard mein nanga naach raha insaan
    Main kaise geet likhoon, main kaise geet likhoon
    Bikti hai majboor jawani, ghar ghar, kholi kholi
    Raat ko bistar ki zeenat, Mehfil mein bahen munh boli
    Laaj sharam aur maryada ki, sabne jalaai Holi
    Dhanwanon ki dehlizon par laaj hui qurbaan
    Main kaise geet likhoon, main kaise geet likhoon
    Tazker mahlon mein rahte aur jhuggi mein mazdoor
    Caron mein kutte deikhe, footpaathon par majboor
    Desh ke netaon ne banaya rishwat ka dastoor
    Har basti ek marghat jaesi, har ghar ek shamshaan
    Main kaise geet likhoon, main kaise geet likhoon
  • Zábava

Komentáře • 3