Very Old Geet - Manzar Bhopali - Ekta Ka Geet

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 16. 12. 2018
  • Very Old Geet
    Manzar Bhopali
    Ekta Ka Geet
    Bharat Mata ke tukde karne ki kyun tayyari hai
    Desh ke ghaddaron se kah do, Dharti jaan se pyaari hai
    Pyar bhara hai apna seena, aur trishool tumhare hain
    Rang birange phool hamare, aur Babool tumhare hain
    Nafrat ki jo shiksha deite, wo school tumhare hain
    Deish bechkar dhan arjit ho, bas ye usool tumhare hain
    Aane waali naslon ab ye, tum par zimmedari hai
    Desh ke ghaddaron se kah do, Dharti jaan se pyaari hai
    Ek din wo tha, jab duniya bhar mein samman hamara tha
    Geeta ke Ashlok hammare, aur Quran hamara tha
    Bangla Desh hamara tha, aur Pakistan hamara tha
    Doodh ki nadiyan bahti thin, wo Hindostan hamara tha
    Nafrat ki diwar gira do, yeh awaz hamari hai
    Desh ke ghaddaron se kah do, Dharti jaan se pyaari hai
    Mandir mein bhi oonch neech ho, ye to Ram nahiN kahta
    Sati bana do Roop Kunwar ko, ye Ghansham nahin kahta
    Hindu dharm se nafrat karna, ye Islam nahin kahta
    Masjid ki diwarein todo, ye koi Ram nahin kahta
    Mulla, Pandit, aur Neta ki, yaron ye makkari hai
    Desh ke ghaddaron se kah do, Dharti jaan se pyaari hai
  • Zábava

Komentáře • 5