Ram Mandir ka Itehaas | Janiye Ayodhya Ram Mandir ka Sach

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 10. 09. 2024
  • Ram Mandir! Shayad hi koi hoga jisne ayodhya ke ram mandir ko news, social media ya kahin aur se na suna ho. Ram mandir hindustan ke itihas ka vo hissa hai jo keval dharmik hi nai raajnatik roop se bhi kafi sangharsh se bhara hua hai.
    Peedhiyon se yahee dharti aastha ki goonj se bhari hui hai. Kai kahiniyan ret ke kan-kan mein basee hain. Aur aaj hum ussi itihas ke bare mein baat karenge.
    Hindu grantho ke hisab se ayodhya ko bhagvan vishu ke satve avrat shree ram ka janamstan mana jata hai. Par ayodhya ka itihas vahan suru nai hota. Prachin kal mein Kosala naam ka khub bada samrajya hua karta tha, jiski radhani thi ayodhya. Is jagah ko
    Samradh aur khusal rajya mana jata tha, Jiske raja, Ikshvaku, Prithu, Mandhata, Harishchandra, Sagar, Bhagirath, Raghu, Dileep, Dashrath, aur shree Ram jaise maha purush rahe hai.
    Par aapko ye janke hairani hogi ki shree ram ke baad ayodhya khali ho gai, unke dono putra, Luv aur kush ne apna samrajya khada kiya. Luv ke bare mein jyada jankari toh nai hai par kush ka banaya hua rajya, mahabharat tak chala tha.
    Vedo mein bhi ayodhya ko ek divya raaj ke naame se likha gaya hai. Rigveda mein ayodhya ko ek adhyatmic, matlab ek spritual center mana gaya hai, jahan dharm aur satya ka raaj hai.
    Vaalmike joki ramayan ke lekhak hai vo ayodhya ki bhavyata, batate hai ki kaise sadko mein hamesha chahal pahal rahti hai, mahal jaise ghar hai aur shanti dene wali sarayoo nadee behti hai. bhagavaan raam ke janm se lekar ek vijayee raaja ke roop mein unke vaapasee tak ke kahani mein shahar ki mahatvapoorn bhoomika hai.
    Mahabharat mein bhi ayodhya ke baare mein kai jagah baat ki gai hai, mahabharat ke samay ayodhya jisko Kosala rajya ke naam se jana jata tha, uske raja Dirghayaghna the, Vo kauravo ka sath dene ke karad samapt ho gaye.
    Ye baat ho gai manyata ki, Par archeological survey ke hisab se sabse purani sabhyata 8vi saadi BE, tak pai gai hai. is pauraanik shahar ka itihas hi ayodhya vivaad ka karad bana, ek siddhaant ke anusaar yah aaj kee ayodhya nagaree wahi hai jo kitabo mein boli gai hai. Wahin dusre siddhaant ke hisab se ayodhya ek kalpanik sahar tha jiske naam gupt kaal ke dauraan chauthee ya paanchaveen shataabdee ke aasapaas isake naam par rakha gaya tha.
    Kaha jata hai ki raam ke vanshaj Brihadbala ki mrtyu ke baad. Ye kaee shataabdiyon tak veeraan raha jab tak ki ujjain ke raaja vikram jo ki vikramaditya ke naam se mashur hai iskee khoj mein aaye.
    Par ayodhya ki ye virasat hindu dharm se bhi pare phaili hui hai, jismein praachen bharat ke kai dharmik parampara shaamil hai. Baudh murtiya aur stoopon ka hona ayodhya ke ithas mein ek aur parat hai. Ye hindu aur budha ka ye sath ye batata hai ki kaise ayodhya ek spritual adhyatmic parampara ka center tha.
    bauddh kaal ke dauraan, lagabhag 5th 6th BCE, kuchh vidvaanon ka maanana ​​hai ki buddh kuchh samay ke lie rahe the.
    Halaki Gupta period mein ayodhya ki sohrat wapis badhi maurya aur gupta raajavanshon ke dauraan ayodhya bauddh dharm ka ek pramukh kendr ban gaya, jahaan bauddh mathon aur stoopon ka nirmaan hua.
    Par 11vi sadi mein jab Gahadavalas ka sashan aaya oh ayodhya mein Vaishnavism kafi fail gaya aur jagah jagah pe vishnu mandiro ka nirman hone laga. vishnu ke sabase pramukh avataar ke roop mein raam mein vishvaas badha aur ek teerthasthal ke roop mein ayodhya ka mahatv badh gaya.
    Ab agar ayodhya ke vibhad ki baat karein toh Ye baat hai san 1528 ki kaha jata hai ki mughal samrajya ke phla raja, babur ne apne senapati mir baqi ko hukum deke babri masjid ka nirman karaya tha. Halaki us samay ke itehasik dastavej sahi tarike se mil nai paye hai, lekin kai surveys aur local traditions ke hisab se ye mana jata hai ki ye nirman ram mandir ko todke karwaya gaya tha.
    1528 se 1668 ke bich is masjid ka itehas mein koi jikar nai hai yahan tak ki babur ki khud ki dairy jo baburnama name se jani jati hai, usmein bhi is mandir ka koi jikar nai kiya gaya hai, isliye Kai logo ka ye bhi manna hai ki isko aurangjeb ne banwaya tha.
    Sabse phli baar san 1717 mein is masjid ka itihas mein jikar kiya gaya jab ek rajput raja, jai singh II ne is masjid ke niche aur aas paas ke jagah ko kharid liya. Ye dastawej mein masjid jaisee dikhane vaalee teen gumbad ke baare mein likha gaya hai par khaas notice karni ki baat ye hai ki uska title “birthplace” yani janambumi likha gaya tha. Yahan mandir ki stapna ke baad hindu aur muslim milke is mandir masjid ke mix mein apni pooja/arji karne lage.
    jabaki ayodhya vivaad mein pahali police shikaayat 1858 mein huee thee par pahla mamala san1885 mein hi darj kiya gaya tha.
    San 1858 mein phle dange ke baad britishers ne mandir aur majid ke har taraf railings laga di aur hindu aur muslim ke liye alag alag jagah namit kardi. Aur ye silsila 90 saal tak isi tarah chala.

Komentáře • 5