😱 Ram Mandir mai lagaye 50,000 Crore 💰😱

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 10. 09. 2024
  • Raam mandir, Saalo ki mushkil or sadiyon ke tudna ke baad, ant mein nirman suru hua hai. Apko iske ithas ke baare mein toh malum hi hoga par akhir ye raam mandir bana kon raha hai, iske liye paisa kahan se aara hai, har nirnay har desicion ke piche akhir ya soch lagi hai, is video mein hum apko batayenge usi mandir ke nirman se judi har cheez ke baare mein.
    Raam mandir ki designing ka jimaa sompura family ko diya gaya hai iske mukhya architect Chandrakant Sompura aur unke do bete Nikhil Sompura aur Ashish Sompura dwara ye mandir design kiya gaya hai. Sompura family sadiyo se mandir nirman ka kaam karti aayi hai. Kai peediyo se puri family ka keval ek hi maksad raha hai, behtar se behtar mandir ka nirman karna, aapko bata dein sompura family ki ye 15vi peedhi hai jo is kaam mein lagi hui hai.
    Sompura family ne abhi tak 200 se bhi jyada mandir puri duniya mein banwaye hai jismein se prasidh somnath mandir, akshardham mandir aur birla temple bhi hai.
    Raam mandir ke banane ki suruat 2020 mein nai blki kai saal phle san 1988 mein hi ho gai thi. Chanrakant sompura batate hai ki Ashok Singhal, RSS ke member, ne unhe bulaya aur kaha ki Ram Mandir ke liye ek plan taiyar karein. Sompura ne bataya ki us samay unhe napne matlab measurements lene ki ijaajat bhi nai thi. Bahut jyada dango ke karad har jagah badi sankhya mein security tainat thi jiske karad unhein sradhalu ke bhes mein puri jagah ko apne paer se measure karke anuman lagaya tha.
    Court ke order ke baad, unka kaam aur tez hogaya. Lekin ek mushkil ye bhi ho gayi, ki ab building aur bhi badi honi chahiye thi jiske karad unko apne plans mein kafi changes karne pade.
    Is project ke design advisors mein bade institutes jaise ki IIT Guwahati, IIT Madras, IIT Bombay, NIT Surat, Central Building Research Institute, ke professors bhi shaamil hai.
    Apko ye janke acha lagega ki is mandir ka foundation banane ke liye 5-10 jagah se nai blki pure 2587 jagaho se pavitra mitti lai gayi hai jismein Jhansi, Bithoori, Haldighati, Yamunotri, Chittorgarh, Golden Temple, aur kai holy places shamil hai. Itna hi nai abhishek samharo mein pure desh se 150 nidiyo se paani ka istemal kiya gaya hai.
    Mandir ki satah se 2000 ft niche ek time capsule ko bhi dafnaya gaya hai jismein mandir aur ayodhya se judi sari batein aur historical records shamil hai taki aane wale samay mein ithas ka ye panna rah sake.
    Kya apko pata hai Raam mandir ko banane ke liye pure desh se badi patra mein donations kiye gaye hai… aur ye donation keval paise ke roop mein nai blki kaam mein madad se leke sone chandi tak hai. Kai reports ki mane toh abhi tak karib 100 kg sona donation mein mil chuka hai jiski keemat 7000 crore se bhi jyada hai.
    Is mandir ko banane ke liye Shri Ram Janmabhoomi Teerth Kshetra trust banaya gaya tha joki donations ke basis pe chalta hai. Abhi tak karib 900 crore rupees kharch kiye jaa chuke hai aur 3000 crores abhi bhi trust ke pass baki hai. Larsen & Toubro (L&T) jo ki construction aur engineering ke liye kafi famous hai unhone apni services bilkul free mein offer ki hai.
    yadi ham haal ke varshon mein bane sabase mahange public monuments ki bat karein toh statue of unity jiska estimate kharcha 2989 crore tha uske baad ram mandir hi aata hai. Yahan tak ki nai bani parliamen building bhi karib 836 crore mein banai gai hai jo ki teere number pe aati hai.
    Aur ek maje ki baat ye hai ki pure mandir ke nirman ko pathar se kiya gaya hai, kahin pe bhi iron ya steel ka use nai kiya gaya. Aur har pathar pe “Shri Ram” likha gaya hai, joki raam setu ke nirmaan ke dauraan ek praacheen pratha se ye manke kiya gaya hai ki ye in pathro ko aur majbut karega aur samay dar samay sadabahar chalta rahega.
    Raam mandir ka ye nirman keval bharat ke logo ke liye nai blki puri duniya ke liye ek nai anubhuti hai. Thailand ne isi ko dhyaan mein rakhte hue pavitra mitti bheji hai jo ki mandir nirman ke liye istemal ki gai hai.
    Pura ram mandir “Naggar” or “Kalinga” architecture ko follow karke banaya gaya hai, Pure mandir mein 392 pillar hai joki apne aap mein ek masterpiece hai. Har design mein Vastu Shastra aur Shilpa Shastra ka dhyaan rakha gaya hai itna hi nai mandir ke saare stambh aur deewar devi-devtaon ki murtiyon se sajaye gaye hain.
    2.7 acers mein faila ye mandir 360 pheet lamba, 235 pheet chauda aur shikhar sahit 161 pheet kee oonchaee tak phaila hai. Mandir ka har floor 20 feet ucha hoga sathi pore mandir mein 44 darwaje honge jismein se kai darwajo pe sone ki coating ki jayegi.
    Mandir ko 6 hisso mein banta gaya hai 1 toh main mandir aur uske ilawa 5 mandap. Ye 5 mandap- Gun Mandap, Rang Mandap, Nritya Mandap, Kirtan Mandap, Prarthana Mandap jo ki alag alag kaam ke liye banaye gaye hai.

Komentáře • 4