VERY OLD Ghazal - Arzoo zabte gham, justujoo khastagi - Shamim Jaipuri

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 27. 12. 2017
  • VERY OLD GHAZAL:
    Arzoo zabte gham, justujoo khastagi
    Zindagi kya hai ek mustaqil tashnagi
    ... ...hai labon par tabassum bhi hai
    Allah Allah tere gham ki sha'estagi
    Hum to ahle junoon hain hamare liye
    Zeest bhi dillagi, maut bhi dillagi
    Aaj bhi yaad hai, teri aawaz e pa
    Dharkanon mein hai abtak wohi naghmagi
    Ishq ka baankpan, sar nigoon ho gaya
    Al aman, al aman, husn ki sadagi
    Eik ummid thi, woh bhi rukhsat hui
    Koi deikhe mere dil ki aasoodagi
    Uski awaz chupkar suni thi kabhi
    Hai sama'at mein abtak wohi tazagi
    Thak ke baitha na main, rahbaron ki tarah
    Inse behtar hai yeh meri aawaragi
    Meiri aah o fughan par tera qahqaha
    Qabil e deed hai teri barjastagi
    Eik baar unse baatein hui thiin kahin
    Phir na bola kabhi, iss qadar chup lagi
    Dil Shamim apna seene mein patthar hua
    Jab se deikhi hai apnon ki be'gaanagi
    Shamim* Jaipuri

Komentáře • 5

  • @shaikbasheer7901
    @shaikbasheer7901 Před 6 lety

    very nice ghazal

  • @syedkader8712
    @syedkader8712 Před 5 lety +1

    BAHOT NAYAAB AUR KHOOBSURAT KALAAM AUR GAYAKI. MUKAMMIL GHAZAL KE ASH'AAR KA SHUKRIYAH. LUTF AAGAYA.

  • @syedkader8712
    @syedkader8712 Před 5 lety

    The message enquiring name of singer was meant for a different uploader and sent to you in error. Thanks for replying. Your uploads are excluse and enjoyable.
    Please search for and upload the old classic:
    "ManzileN ishq ki al-amaaN, al-amaaN"/
    "Har qadam kashmakash, har nafas imtehaaN"/
    I am unable to find it on the net and do not know who the sha'er is.

  • @syedkader8712
    @syedkader8712 Před 5 lety

    Who is the singer?

    • @mahakavi
      @mahakavi  Před 5 lety +1

      Kalaame Shaer bazabane Shaer.
      Yeh Shamim Jaipuri sb. khud apna Kalam Suna rahe hain.