Rare Ghazal of Shamim Jaipuri in his voice.

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 3. 12. 2018
  • A Rare Ghazal of Shamim Jaipuri in his voice.
    Muscat, Sultanate of Oman.
    Saghar o Sahba, Mutrib o Naghma, qaide baharaan aaj bhi hai
    Kis se poochein, kaun bataaey, dil to veeraan, aaj bhi hai
    Raaz e mohabbat, zaahir zaahir, pinha pinha aaj bhi hai
    Aankh mein aansu, lab pa khamoshi, range pareishaan, aaj bhi hai
    Kiski khatir, gulshan gulshan, josh e baharaan aaj bhi hai
    kya koi wahshi, sahra sahra, chaak gareibaan aaj bhi hai
    Kitni yadein, kiyni muradein, rakhte hain hum dil mein magar
    Dil ki duniya, sooni sooni, veeraan veeraan aaj bhi hai
    Sahra sahra ban gaey gulshan, daaman daaman phool bhare
    Eik tera diwaana lekin, chaak gareibaan aaj bhi hai
    Kya kya rangeen dilkash ghunche, zeire zameen haiN dafn magar
    Hairat hai, iss veeraane ka, naam gulistaan aaj bhi hai

Komentáře • 3

  • @Naheed_Waheed
    @Naheed_Waheed Před 3 lety +1

    Wah

  • @rcv7614
    @rcv7614 Před 5 lety

    some famous singer probably Talat Mahmood had sung it, now the same is untraceable today.

  • @muneebrahman9514
    @muneebrahman9514 Před 2 lety

    Pehla misra tittle me daal dein bara e karam