दुनिया का सबसे बड़ा सांप भारत में खोजा गया | 'Vasuki Indicus' | (हिंदी)

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 10. 09. 2024
  • World's Largest Snake Discovered in India | 'Vasuki Indicus' | Hindi
    Presented by : Amit Goswamy
    Produced by : Wildlife Moments India
    Snakes have featured in the mythology and spirituality from around the world, from Egypt to India, from Asia to South America the stories of giant snakes found in the ancient world are written in the mythological texts everywhere. But in the recent findings of archeological team of IIT Roorkee, India: the researchers are finally able to locate the actual remains of a large ancient snake that used to live in the ancient India.
    The snake is aptly named after the king of snakes 'Vasuki' that is seen around the neck of lord shiva.
    This story about Vasuki Indicus tries to connect the dots of this rare discovery.
    Vasuki Indicus Story (Hindi)
    Vasuki Indicus : World Largest Snake
    Mahabharat me vishal vasuki sanp ke bare me to app jante he honge, wohe saanp jiski madat se sagar manthan kiya gya tha, aaj aese he ek, vishal saap ke avshesh bharat me mile hai, kya hai poora kissa janenge abhi
    Sanp poori duniya me adhyatam aur sanskriti ka hissa rahe hai jaha Misra me inko Apophis ke roop me jana jata hai, wahi Cheen aur Vietnam me inko dragon ke roop me aneko kahaniyo me jagah mili hai, wahi hamare desh bharat me bhi, Sarpo ke raja Vasuki ko khud mahadev ne abhushan ke roop me dharan kiya hua hai, hal he ke dino me bharat me hui ek khoj adhyatam aur vigyan ko kareeb le ayi hai.
    Yaha, Gujarat ke Kutch ki ek Lignite Mine me, IIT Roorkee ke sodhkartao ko lagbhag 4.5 crore sal purane ek saanp ke avshesh mile hai khoz me mili 27 haddiyo ka vaigyanik vidhi se punarnimad krne per ye pata laga hai ki, is sanp ki lambai lagbhag 50 feet rahi hogi.
    Jo abhi tak darti per panpe kisi bhi saanp me sabse zyada hai iski lambai amazon me milne wale Green Anaconda se bhi lagbhag do guna hai.
    Iske vishal kaye sharir ko dekhte hue, shodhkartao ne iska nam mahakal ke saanp ke nam per Vasuki Indicus rakha hai.
    Hairani ki baat ye hai ke is saanp ke avshesh 2005 me he mil gyae the, per us samay prathmik anklan me itne bade aakar ke chalet isko magarmach ki haddiya mana gya, jo bad me theek kiya gya.
    Khudai me mile avshesho ke adhyan se Vasuki indicus ko Matsoiidae family me shamil kiya gaya hai, jo ki Gondwana kaaal ki ek saapo ki family hai jinke fossil ya jeevashm bharteeya upmahadweep ke sath sath, Africa, South America, Antarctica, Australia se bhi mile hai, dhyan se dekhne per ye jeevashmo ki khoj dharti ko kuch aur janne ka mauka deti hai aur ye dikhati hai ke kis tarah karodo sal pahle ye sabhi mahadweep apas me jude hue the.
    Vasuki Indicus per gahen adyan se pata laga hai ke ye sanp Gujarat ke daldali shetre me rahne wala ek bade azgar ya anaconda jesa sanp raha hoga, jo apne shikar per ghat lagakar hamla krke use dabakar marte hai iske vishal akar se anuman lagaya gya hai ke ye shayad, us samay ke magarmach aur bade kachuo ko apna shikar bnate honge.
    Vasuki Indicus ke milne se pata laga ke hai ke bharat ke jungle aetihasik taur se he aneko prajitiyo ka ghar rahe hai ye khoj vanyajeevi sanrakshan ki zaroorat ki ooore bhi ek ishara hai jisse ani wali pedhiyo ke dhari ki aneko prajatiya jeevasham ke roop me nahi balki jeewant roop me dekhne ko mile
    Asha hai apko ye kahani sunne me utna he maza aya jitna hame bnanae me.
    Phir milenge kisi aur Wildlife story ke sath …..tab tak ke liye stay happy and stay wild.
    Wildlife Documentaries by Wildlife Moments India : • Wildlife Documentaries
    Wild Vietnam : • Wild Vietnam : 'The St...
    Subscribe Wildlife Moments India for follow more stories on our natural world.
    / @wildlifemomentsindia

Komentáře • 13