Ankhon Ka Rang Bat Ka Lehja Badal Gaya | Amjad Islam Amjad | Urdu Poetry

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 11. 09. 2024
  • Janab Amjad Islam Amjad Sahab Ki Ek Piyari Si Ghazal
    Awaz - Meero Baloch
    Lyrics;
    Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
    woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
    Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh
    phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya
    jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
    to kiya huwa jo hum say zamana badal gaya
    qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari
    us nay chhuraya haath to sehra badal gaya
    koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
    jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya
    ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal
    wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya
    uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
    parda utha to saara tamasha badal gaya
    hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
    baaton main apni baat ko kaisay badal gaya
    kehne ko ik sehan main deewar hi bani
    ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya
    shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who
    manzil kay paas aake jo rusta badal gaya
    qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi
    taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya
    manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
    jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya
    andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
    us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya
    aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye
    woh muskuraya or meri dunya badal gaya
    apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
    Amjad~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya

Komentáře • 26