New Noha 2024 | Kat Raha hai Baap ka Gala | Anjuman Sipah-e-Hussaini Bhanauli Sadat

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 10. 09. 2024
  • 10 Moharram Noha | New Noha 2024 | Kat Raha hai Baap ka Gala | Anjuman Sipah-e-Hussaini - Bhanauli Sadat 2024/1446 | New Noha Bibi Sakina s.a
    Kat Raha hai Baap ka Gala | कट रहा है बाप का गला | کٹ رہا ہے باپ کا گلا
    Poetry & Composition - Waiz Hasan Sultanpuri
    Recited by- Anjuman Sipah-e-Hussaini Bhanauli Sadat
    Posted by- ‪@AzadariBhanauli‬
    Lyrics (Kat Raha hai Baap ka Gala)
    Sabr sakina ko de khuda kat Raha hai baap ka gala
    Ro rahi hai sheh ki mehlaqa kat Raha hai baap ka gala
    1.
    Chad gya hai seena e hussain par sitamgar
    Or dikha raha hai ghamzada ko kund khanjar
    Dodti hai baap ki taraf jo binte sarwar
    Zalemeen dante he barchhhiyan dikhakar
    Dar se Kanpti Hai Ghamzada
    2.
    Kaise apne baap ke qareeb jaye pyari
    Kar Rahi hai koshishen bohot ghamo ki maari
    Ab kare to kya kare hussain ki dulari
    Kis tarha bachaye apne baap ko bechari
    Ho na Jaye tan se sar juda kar raha hai
    3.
    Jis taraf bhi dekhti hai hain ghamo ke saye
    Ab nahi hai koi aasra Jo ban ke aaye
    Baap ki madad ke waste kise bulaye
    ro rahi hai soch soch kar kidhar ko jaaye
    Dikh nahi Raha hai rasta kat Raha hai baap ka gala
    4.
    Keh rahi hai alqama hai kis taraf bata de
    Ya Najaf ka koi mujhko rasta dikha de
    Mere baba Jaa'n ko koi mere paas laa de
    Ya to koi shimr ko qareeb se hata de
    Phat Raha hai ab jigar Mera kat Raha hai baap ka gala
    5
    Dukhtare hussain ke labon pe ye sada hai
    Ab mere naseeb main na jane kya likha hai
    Shimr mere baba Jaan ke qatl par Tula hai
    Main yateem ho na jaun Dil dhadak raha hai
    Dard hai ye maut se bada
    6.
    Keh Rahi Hai baap ke qareeb jaungi main
    Apne baba Jaan ko gale lagaungi main
    Khaak par gire hain wo unhe uthaungi me
    Ret un ke zakhm zakhm se chudaungi main
    Koi aa ke rok de jafa kat Raha hai baap ka gala
    7.
    Bain kar rahi hai lut rahi hai meri duniya
    Dekh kar sue furat padh rahi hai noha
    Ab yateem ho rahi hai aapki sakina
    Aye chacha tumhare paas ja rahe hain baba
    Haan yehi mera naseeb tha
    8.
    Lut gaya janab e sayyada ka chain waiz
    Karbala main kat gaya sare hissain waiz
    Ho gaye shaheed shahe mashraqain waiz
    Waqt e asr gunhjta raha ye bain waiz
    Kya karun main kya krun khuda khuda
    Jab shahedee ke Saro tan me judai kardi
    Pakdin fir shimre sitam gaar ne zulfen shah ki
    Leke sarwar ke Kate sar ko sitamgar utttha
    Aur shabber ke chehre pe tamacha mara
    Hay jis waqt sakeena ne ye manzar deka
    Ho ke behosh giri khak pe shah ki dukhya
    Jab huwa gash se afaka to ajab manzar tha
    Noke neza pe sakeena ke padar ka sar tha
    Shor tha qaid karo ale nabi ko badh ke
    Chadaren loot lo in sab ki jala do kheme
    Jab yateema ne laeeno ki ye awaz suni
    Hoke hairan wo khemo ki taraf daud padi
    Isse pahle ke use kuch bhi samjh me ata
    Shimr ne bad ke use pahla tamacha mara
    Uski ankho me achanak se andhera chhaya
    Muh ke bal gir gai tewra ke zami par gukhiya
    Baap ke sar ki taraf dekh ke rah jati thi
    Har tamache pe ye kahte huwe chillati thi
    Baba baba baba
    Access:-
    Kat Raha hai Baap ka Gala, New noha 2024, bhanauli noha, bhanauli azadari, anjuman bhanauli, bhanauli sadat 2024, live noha noha bhanauli, Bhanauli sadat nohay, anjuman sipahe hussaini nohay, bhanoli sadat new nauha, azadari bhanauli, haider raza, zuhair qain, anjuman sipahe hussaini bhanauli sadat, noha, 10 safar bhanauli sadat, Shahadat bibi sakina noha 2024, anjuman sipahe hussaini bhanauli sadat new noha 2024
    Hashtag:-
    #newnoha2024 #azadaribhanauli #noha2024 #anjumansipahehussainibhanaulisadat #newnoha2024 #nohay2024 #ashura #ashoora #10muharram #muharram2024 #10muharramnoha #newnohay2024 #newnohay
    ►Social Media:-
    Subscribe : / azadaribhanauli
    Facebook: / bhanaulisadat
    Instagram: / azadaribhanauli
    Hit me up on social media!
    Instagram: / iamrizvi

Komentáře • 17