Serotonin ki kami symptoms, causes and treatmentsहिन्दी में|Dr. Dwarka

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 7. 09. 2024
  • Namaskar everyone 🙏
    welcome to our channel Psycho d balance
    where you find solutions to your mental problems and all the related queries.
    Today in this vedio we are going to discuss about A Mood Changer Harmon- SEROTONIN
    Why is it lacking
    what are the symptoms?
    what are the causes?
    what are the natural treatments?
    Get answers to all your questions in this video.
    Thanks for watching
    Music By: www.bensound.com
    Bensound

Komentáře • 143

  • @jayantkashyap6217
    @jayantkashyap6217 Před rokem +1

    Bhut acha gyan diya sir apne❤❤

  • @chetanpawansoni
    @chetanpawansoni Před rokem +1

    Sir you are genious ,keep it up for human welfare

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Ye aap logon ke Bina impossible hai mujhe aap logon Se hi mehnat karne ki himmat milati hai aur main doguni energy ke sath kam karne lagta hun..So Thanku very much

    • @chetanpawansoni
      @chetanpawansoni Před rokem

      Sir mere eak problem hai muje pet bigdne ke baad IBS c anxiety or spermatoria jasi problem hui last 2 year se. Bahut treatment Karaya koi fayada nai huwa, Ed ho Gaya hai ,. Mere eak friend Ka 24 year old son kamre me round lagata hai , aap ki consultancy chaiye paid send no. Pls

  • @vibhagupta1393
    @vibhagupta1393 Před 11 měsíci

    Nice explanation very beneficial

  • @amolacharya6699
    @amolacharya6699 Před 10 měsíci

    Best information ever come across

  • @madhurichauhan7410
    @madhurichauhan7410 Před rokem +2

    Superb doctor absolutely right point s 🙏

  • @laxmimishra8906
    @laxmimishra8906 Před 3 měsíci

    Thank you sir❤

  • @AnilKumar-ut1fg
    @AnilKumar-ut1fg Před rokem

    Thank you very much to deliver your good knowledge.

  • @kunjabiharipradhan819
    @kunjabiharipradhan819 Před rokem +1

    What is the test for serotonin

  • @roshankumar-vs9mi
    @roshankumar-vs9mi Před 11 měsíci

    Sir Thanks

  • @drharigovindsinger1675
    @drharigovindsinger1675 Před 5 měsíci

    Sir Serotonin Also Works In Pre Mature Ejaculation ??

  • @paramjeetchahal7712
    @paramjeetchahal7712 Před 2 lety

    Thañk you sir 🙏

  • @sayalishaha1846
    @sayalishaha1846 Před rokem

    Nice explanation 👌

  • @amarnaathsingh4718
    @amarnaathsingh4718 Před rokem +1

    Doctor uncle mai 19 saal ki hu. Mujhe public places se bahut dar lagne laga hai 3 years se. Mai bahut hi jyada nervous ho jati hu.koi bhi confidence ke sath ni kar pati hu. Mai itni jyada nervous ho jati hu ke mere chehre par smile bhi ni aati. Yahan tak ki jab koi guest mere Ghar pe aate hai to mere hath pair kapne lagte hain aur meri dil ki dhadkan tez ho jati hai .Mai is problem ki bjah se kahin bhi ni jati hu. Hamesha ye hi dar lagta hai agar mai kahi jaungi to mera kaisa reaction hoga. Mera aur jeene ka man ni karta.mai kya karu doctor uncle. Please btaiye ye kya problem hai aur isse mujhe kai chhutkara milega. Bahut ummid ke sath maine aapko ye problem ke bare mai btaya hai.Aap koi solution zaroor bataiye. Jisse mai apni zindagi ko sukoon ke sath aur Khushi ke sath bita saku.please doctor uncle reply zaroor karna...😢😢😢😢😢🙏🙏

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem +1

      Apne nearest Psychiatrist ya Psychologist se apne parents ke sath mile face to face mile aur unki advice follow Karen.

    • @ravinderpalsingh4297
      @ravinderpalsingh4297 Před 3 měsíci +1

      Mere sath bhi esa hi hota hai same ..guest aate hai to kampne lgte hai hath pair

    • @Rohittiwari1990
      @Rohittiwari1990 Před 11 dny

      Past me koi aisa life event hua hoga..jiski wajah se logo se dar lgne lgta hai.... iska ekmatra solution yhi h ki dhire dhire aadat dalo... Wo cheez krne ki jisse dar lgta hai... Mere sath bhi hota hai..life me ek do aise friend jaroor bnao.. jinpe trust kr sko.. baate share kr sko.. I think ki jab kisi ka koi trustworthy person nhe hota hai... Ya jisne life me bahut bda dhoka khaya hai..ya jiske parents ne bachpan se hi mental abuse kiya ho... usi k sath ye problem hota hai..

  • @ahmadhussain4685
    @ahmadhussain4685 Před 3 měsíci

    Sir sar me continue dard rehta hai. Jaise sar pakda rehta h... Andi depression dawai liye kuch din to ekdum thik hogaya tha lekin dawai k chrne pr phir se dobara waise hi dard sar horaha h kya kare plzzz .. kuch btaden bohot meherbani hogi sir..🙏🙏

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 3 měsíci

      Yadi aapane khud ne dava band ki Hai to galat ki hai aapko doctor se Milana chahie aur agar dava vah FIR regular karte Hain to dava regular len doj bhi kam jyada na Karen jab tak vah chalayen chalane den Ek bar aapko Milana chahie

  • @jena61483
    @jena61483 Před 2 lety +1

    Ekdum right❤❤❤❤

  • @AJAYKUMAR-wp6kw
    @AJAYKUMAR-wp6kw Před 2 měsíci

    Sir aap google karke aaye ho na tabhi mai kahu aap nechural jankari nhi de pa rhe hai aur google se jankari lekar CZcams par fallowing bada the hai acha hai

  • @ramkrishnapatel7318
    @ramkrishnapatel7318 Před 2 lety +3

    Sir mai bahut nirash rahata hu,chinta rahati hai,mujhe koi feeling hi nhi aati hai

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Aap apnon ke sath baithi i baat kariye Apne best friend se khoob acche se baat kariye apni problem share kijiye aur ho sake to kisi Psychologist se ek bar aap miliye taki actual problem ka pata chal sake

    • @ManojVerma-tn1ch
      @ManojVerma-tn1ch Před 2 lety

      Bai pahle mughe bhi anxiety ki bhut problem thi maine ek Dr.ma'am se consult kiya tha phir unse therapy bhi li ajkl wo CZcams par aa gyi h i am sharing her channel link czcams.com/channels/bzJRrAPyYAXCj4RJy9xTKA.html
      Ap dekh skte h unke videos ko aur unse consult bhi kar skte h

    • @user-bz7de5mi2f
      @user-bz7de5mi2f Před 4 měsíci

      Mere sath bhi aise hi ho rha hai mere under bhi koi feeling hi nhi h

  • @lifeisbeautiful2384
    @lifeisbeautiful2384 Před 2 lety +1

    Sir brain ka connection humare stomach se hota hai mere pet me aithen Or jalan hai kafi paresaan hu kafi test karaye kuch nai ata report me kuch bolte hai physicrist ko dikhao kya kare sir batao

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety +2

      Don't worry, zyda chinta ki baat ni h. Ye toh sach h ki psychologically hum jitna zyda jis subject pr sochenge waise hi dheere dheere symptoms aane lgte h. Kabhi kabhi hamare samne koi bada accident ya or koi buri ghatna ghat ti h toh brain kuch neurotransmitter secrete krta h jisse biologically body pr effect padta h jisme pet dard bhi ho skta h, blood pressure bhi kum zyda ho skta h. Isliye topic pr zyda sochna band kre or har ek cheez ko normally feel kre. Meditation kre.

    • @Hsingh430
      @Hsingh430 Před 10 měsíci +1

      Ab thik ho bro

  • @THERAPYWORLD
    @THERAPYWORLD Před 2 lety

    High serrotonin symptoms ke upor video dijiye please

  • @crickettech1951
    @crickettech1951 Před 2 lety +1

    Sir muje motivational feeling nahi aa rahi he me kuch motivational video bhi dekhta
    Hu phir bhi dimag me kuch feel nahi hota pahle me kuch bhi galat kam karke motivational video dekhta tha to muje feel aata tha par ab kuch bhi dekh lu feel nahi aata 😭

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Jo bhi kaam aap kar rahe h chahe study ho ya job ho use best way m krne ki koshish kare vo apne aap m motivation m change ho jayegi.

  • @user-yz5cc9fw7l
    @user-yz5cc9fw7l Před měsícem

    Sar mein 2 sal anxiety se pareshan hun aur panic attack se iske chalte mujhe chest pain bechaini ghabrahat kahin akele jaane mein itna dar lagta hai itna systems hone lagta hai lagta ji mujhe heart attack ho jaega ya mujhe death ho jaega chest pen pet me bahut banana pet saaf nhi hona akele khen ja nhi sakta hun bahut dar lagta hai Mane 50 Dr ko dekhaya Nero phechesiyn cardiology sare report normal aata hi pher bhe hme hr samy Marne ka dar or hard attack ka dar or khen akele Jane me to m itna darta hun ki Shabd mein bayan nahin kar sakta mera hard ka TMT ECG echo sab normal aata hi ab lagta hai ki theek nhi honge asa lagta hi ki jindagi khtam kr lu please sar hamen koi suggestion dijiye

    • @naishalgadekar1925
      @naishalgadekar1925 Před 19 dny

      Sab se pehle 15 second wala cointant dekhna band kro jaise insta gram youtube shorts band kr do aur long videos dekhna shuru kro fir nonveg aur masale dar khana khana band kro last me meditate kro mood to nahi hoga fir bhi kro aur khud ko thoda bour hone do har jagah mobiles songs sun na chodna padega ye besic se accha farak dikhe ga Maine khud try Kiya hai

  • @amjadmasood8179
    @amjadmasood8179 Před rokem

    Dr sb. Me 1month hogya ha sert 50mg laity howi laikin tabiat pe koi impact nhy aya kia me dose increase krdon

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Iske liye aapko kisi psychiatrist se Milana chahie vah jaisa suggest Karen vaise medicine leni chahie

  • @Deepak-wn5ep
    @Deepak-wn5ep Před 2 lety +2

    D.Ed Special education (ID)
    Ke addmission kab se honge sir....
    🙂❤️

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Rci ki site per jakar yah dekhiae
      Site per hi aapko Sahi date recognised centres aur dusri jankariyan bhi milegi .

  • @ramb.3821
    @ramb.3821 Před rokem

    Sir muje lgta h ki Mera dimak enthusiastic bilkul bhi nhi h..mere self-confidence bhut weak h muje lgta h ye dimagi h n ki motivational muje kya krna chahiye

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Aap likh rahe hain mera dimag enthusiastic nahin Hai Sabse pahle yah nahin word apni life se gayab Karen. .. self confidence bahut week hai isko week ko powerful likhen aur roj Ek bar likhe hue ko padhen.... Ek diary mein aap apni uplabdhiyan, acchi aadaten, achcha vyavhar Jo aapane ab Tak Kiya Jo memorable hai use likhen or roj padhe .. only 15 days Mein kafi change ho jaega aap karke dekhiae

  • @truptithakor8965
    @truptithakor8965 Před měsícem

    Tics hoto konsi dawaye kawaye please answer

  • @DeepakKumar-jf9vz
    @DeepakKumar-jf9vz Před 10 dny

    Sir mujhe Parkinson feel ho rha hai hath kapta hai kuchh kam karte waqt

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 9 dny

      aap mera aap perkinsons per Jo video hai use dekhen lagbhag sari jankari usmein batai gai hai
      mere Channel ka naam aur video ka nam likhe aapke samne video hoga aur pura dekhen

  • @azadkhalsa5345
    @azadkhalsa5345 Před 2 měsíci

    Sir mujhe bimari hone ka dar hota hai
    Body pain bukh kam lagti hai
    Gabraht hotti hai ngtive thoughts hi atte hai

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 měsíci

      agar aapko yah 15 din se jyada a rahe Hain tumko to fir aapko kisi psychiatrist se milane ke liye uski Rai jarur le lijiye taki problem normal Hai yah problem hi nahin hai yah to pata chale

  • @satyavlogs3050
    @satyavlogs3050 Před 2 lety

    Sir, very informative video, Low serotonin level treatment ke liye koun sa department doctor ko dikhana chahiye, medicine specialist, neurologist or Psychiatrists doctor?

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Aap starting mein kisi acche physician Ko dikha sakte hain I think aapko fayda milega

    • @sameerraza6009
      @sameerraza6009 Před 2 lety

      @@DrDwarka sir aapka clinic kaha hai

    • @sameerraza6009
      @sameerraza6009 Před 2 lety

      @@DrDwarka kya aap online construction dete hai

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      @@sameerraza6009 no

    • @alamzeb9577
      @alamzeb9577 Před 2 lety

      @@DrDwarka severe depression 😢 ka ilaj mumkin hai ..100 percent or not

  • @SanjeevKumar-oz5oe
    @SanjeevKumar-oz5oe Před rokem +2

    Homeopathic में serotonin ka ek dava आता hai... बिना डॉक्टर k chek किए kya इसको use kr सकते हैं..?

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Medicine ko Bina doctor ki advice ke nahin leni chahie aur har vyakti ke symptoms Apne Apne hote Hain aadaten apni apni hoti hain isliye sari jankari dekar hi medicine li jaani chahie.

  • @abhisheksinha6096
    @abhisheksinha6096 Před 2 lety

    Pllzz sir
    Hum 15 saal se ocd se jujh rhe hai..
    Plzz sir mujh btaaiya ki ocd jar se kaise khatam hoge mujh me

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Aap kisi ache psychologist se psychotherapy le or jitne session vo lena chahta h utne unse le. Dheere dheere problem kum hote hote khtm ho jayegi

  • @rayyankhan6110
    @rayyankhan6110 Před 2 lety

    Very informative video... Good job

  • @RajwinderKaur-qi2xc
    @RajwinderKaur-qi2xc Před 2 lety

    Hiii sir g me 8 month se tv ki dawa kha rhi hu .mujhe dioreson chinta jhnjhnaht ghbraht bohat hoti h kuch v mnn nhi krta karne ko ..kya mujhe v serotin ki kmi k krn hota h ya dawa k karn please btaiye

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Jis Doctor Sahab se aap treatment le rahe ho unhen Apne pure symptoms bataiye aur vah jaisa bhi recommend Karen dava lijiye.
      jab ek bar aap theek feel Karen yah Aap ki dava Puri band Ho jaaye to aap kisi dietitian ya nutrition se a Mile aur vah aapki age aur weight ke according diet plan denge use aap dite me le .

    • @samadehshan721
      @samadehshan721 Před 2 lety

      Sir mera vit d3 low hai 8.1 mujhe enxite Hoti hai kuchh bhi achha nahi lagta hai weknes lagta hai supliment se thoda fayda hua hai pura thik nahi ho pa Raha hu kya Karu 3month hogaye hai

  • @SwapnilChoudhary-dh7qf
    @SwapnilChoudhary-dh7qf Před 8 měsíci

    Where to contact you

  • @muazjutt1191
    @muazjutt1191 Před 7 měsíci

    Kya serotonin deficiency ki waja se constipation hu skta?

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 7 měsíci

      Indirectly... anxiety, depression hone per digestive system bhi kharab hota Hai

    • @muazjutt1191
      @muazjutt1191 Před 7 měsíci

      @@DrDwarka mjge ibs issue h or dizziness hoti h mjge kya treatment lena pre ga ?

  • @upasanatiwari4912
    @upasanatiwari4912 Před rokem

    Chalney main balance bhi bigad jata hai kya?

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Directly esa koi symptoms nahin hai but... aapko Dr. ko check up kra lena chahiye

  • @roksjhon5372
    @roksjhon5372 Před rokem

    इलाज क्या है मुझे 12 साल हो गए मेडिसिन लेते पर रिकवरी नहीं हो रहा है मुझे नींद बहुत पेन बहुत हो ता है अगर दवाई ना लू तो

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Kisi acche senior doctor ko dikhayen ho sakta hai koi aur problem ho

    • @roksjhon5372
      @roksjhon5372 Před rokem

      @@DrDwarka रिपोर्ट normal आती है ct scean मे

  • @Nokjhonkk
    @Nokjhonkk Před 2 lety +1

    Sir do mahine se ye sab kiya kuch।fark ni pda

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety +2

      Agar aapko Aisa lagta Hai to aap kisi nazdiki psychiatrist se ek bar jarur Mile aur apni Puri baat detail mein unhen bataen aur vah jaisa kahen use follow Karen ..............aur kuchh chijen apni life mein badle.... Jaise subah jaldi uthkar exercise karna yoga karna ...Hari sabjiyon ka prayog karraha ....tension free rahana aggressive kam se kam hona... Ji bhar ke hansna,. family members ke sath baithkar Apne man ki baat jarur karna aur ....Khush rahana aapne kafi change aaega aapko achcha lagne lagega.

  • @MYWORLD-fo9qy
    @MYWORLD-fo9qy Před 7 měsíci

    Muje kamar main pain hota he pait main ghadabad udasi ,khushi nahi hona

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 7 měsíci

      Aapko Ek bar kisi senior psychologist se Milana chahie taki yah clear ho sake ki problem psychological hai ya kuchh aur

  • @sandhya1189
    @sandhya1189 Před rokem +1

    Sir mera umr 37year old Lady hu sex kerthesamay khuch bi feel khushinahi milthi he muje dipression bhi he treatment chal rahe he jabse shadi huva he thab se muje A problem he 21 years me shadi hui thi Karan kya he sir

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem +1

      Sabse pahle jyada chinta na Karen dusri baat aap Jo treatment chal raha hai use chalne de pura len aur doctor ke advice ko Mane pura follow Karen
      Teesri baat Khush Rahane ki koshish karen iske liye aap comedy program dekh sakte hain doston ke sath baith sakte hain parents ke sath baith sakte hain family member mein kisi ke sath bhi Jahan aapko Khushi milati hai vah Karen
      subah thoda ghume yogasan Karen exercise Karen chai coffee se puri tarah bacche mausami vegetables khayen fruits khayen iske alava sabse jaruri jab bhi Jo bhi kam Karen use waqt sirf aur sirf usi kam ke bare mein soche vichar Karen aur usi mein pura man lagaen FIR vah kam koi bhi kyon Na Ho aapko धीरे-धीरे use kam mein interest aane lagega thoda waqt lagega per interest aane lagega aur aapki problem dur ho jayegi aur treatment ko regular rakhna hi hoga

  • @SandeepKumar-lg9xk
    @SandeepKumar-lg9xk Před 2 lety

    Premature ejaculation ke liye serotonin dawa le sakte h or kaise Lena hoga because m india m nahi hu. So please tell me

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Aap jahan bhi h kisi Psychiatrist ya phir kisi physician ki salah se medicine le.

    • @sunilpuhan8619
      @sunilpuhan8619 Před rokem

      Get treated through Allo health, very much affordable

  • @virendrakumar-er5jh
    @virendrakumar-er5jh Před 2 lety +1

    Sir kya aapse baat ho sakti h

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Aap problem share kijiye main Puri koshish karunga problem ko sort out karne ki

  • @sachindhiman8048
    @sachindhiman8048 Před rokem

    Sir m serotonin ki dwa exitin 12.5 mg ki dwai roj khata hu m shi rhata hu or jb bhi m ye bnd kr deta hu to mujhe chkkr aane lgte h pairo me drd hota h hkla chlne me weakness feel hoti h or anxiety shuru ho jati h pate khrab ho jata h to mujhe kya krna chahiy mujhe dwa chodn h plz help or m na to drink krta na hi tea pita hu lifecstyle sb shi h fast food nhi khata fr ye problem kyu ho rhi h plz btye m dwa kaise chodu taki m pahle jaisa shi rhu...

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Sorry medicine ke mamle mein main aapki help nahin kar paunga iske liye aapko sambandhit Dr. se hi Milana hoga

    • @sachindhiman8048
      @sachindhiman8048 Před rokem

      @@DrDwarka kuch or advice dedo sir kya Krna chahiye Dr to vhi dwa de deta h uthakr bs

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Serotonin se related mere sare video aap dekhiae ..Mein sari jankari Di hai aap unhen padhiye suniye.. aur implement bhi kariye aapko benefit hoga

  • @mamtachaudhary28
    @mamtachaudhary28 Před 2 lety

    Vitamin B12 low hai kya kre

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Milk ,soybean, egg, broccoli, paneer, oats, and dudh aur dahi inko dietitian ki Salah ke anusar khayen b12 ki Kami Puri hoti h

  • @anuradhagutte920
    @anuradhagutte920 Před rokem

    Superb sir

  • @padmakarmakar4355
    @padmakarmakar4355 Před rokem +1

    Serotonin kis tarah test Kiya jata hai

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Harmons ke bare mein exactly jankari kafi kam mil paati hai but fir bhi kuchh test aise hote hain jinse yah pata Kiya ja sakta hai ki iski Matra ya iski quantity kam ya jyada ho rahi hai ya nahin aur yah test physiological test hote Hain jinhen ek doctor recommend karta hai

  • @shashank5322
    @shashank5322 Před 2 lety

    serotonin brain me banta hai ya gut me banta hai ?? aur ye kam kyu banta hai

  • @sandhya1189
    @sandhya1189 Před rokem

    Sir Kya Dipression Genetics hotha he

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem +2

      Depression. Maximum time environmental aur situational hota hai genetically bahut bahut hi rarely hota hai.. Apne aaspaas Apne relationship Apne job se related koi bhi aisi baat Jo pareshan karti ho uske bare mein aap apne doctor Apne parents Apne family members se discuss Karen aur uske bare mein railen ki is problem ko kaise dur Kiya ja sakta hai aapko bahut jaldi depression kam hone lagega thoda bahut depression sabhi ko hota hai isliye aap jyada tension Na le aur usko theek karne ke bare mein soche aur doctor ka treatment jarur len

  • @jaspreet565
    @jaspreet565 Před rokem

    Nashe ke karan need na aana iska kya ikaaj hai

    • @jaspreet565
      @jaspreet565 Před rokem

      Muje med ke bina need nahi aati m naha krta tha

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Kisi bhi tarah ki mansik ya sharirik problem hai to night mein Nasha nahin karna chahie Varna koi bhi ilaaj Kam nahin karta... Nind Mein to khas kar nahin karta isliye Raat Ko main Keval drink balki chai coffee se bhi bachana chahie

    • @jaspreet565
      @jaspreet565 Před rokem

      @@DrDwarka ab nahi karta 10 saal phela cough syrup leta tha

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před rokem

      Good Bina doctor ke advice ke cough syrup bhi nahi lena chahiye, yaadi apko nindh se sambandhit koi samasya hai toh aap mere need se related i videos dekh ...... aapko aapki problem ka solution jarur milega

  • @crickettech1951
    @crickettech1951 Před 2 lety +4

    Sir muje koi feeling nahi aa rahi matlab pahle song sunta tha to aacha lagta tha feel aata tha par ab nahi feel hota film dekhne ka man nahi hota dimag boor ho raha he bhaut jyada esa lagta he piche se dimag dead ho gaya kuch feel nahi hota😭

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety +1

      Ek bar kisi nazdiki psychologist se milen or unki adivce ko follow kre

    • @crickettech1951
      @crickettech1951 Před 2 lety +1

      @@DrDwarka par sir muje motivational video dekhta hu vo bhi feel nahi hota andar se jo feeling aati he josh vale muje kya hua he aap kuch bataye please😭 me 3 days se problem me hu kya mera brain shrink ho gaya he

    • @harshkr31
      @harshkr31 Před 2 lety +2

      Akhrot khaye aur sir aur body ka massage karke 40 mint baad nomal paani se nahaye sone se pehle bi nahakar soye

    • @rohanarya3883
      @rohanarya3883 Před 2 lety

      Sir mujhe b esi hota h sochta rhta g ki jym jau padyi kru par man Nhi hota tkat nhi ati or bachpan ki khusi to jse Kho gyi ho kisi b chij m maza khusi nhi milti bas lete rhta hu sochte rhta hu

    • @rohanarya3883
      @rohanarya3883 Před 2 lety

      Bhai mujhe b esi hota h bimar use feel krta hu khusi bilkul nhi hota

  • @khushalkhan65
    @khushalkhan65 Před 2 lety +2

    Sir ... mujhe aisa lagta hai mai dusri dunya mai hoo logo ki awaz sonai nahi deti teek se (brain fog) gahr se bahir nhi jata buhut udaas rehta ho. Aor gabrahat hoti hai ke mai teek hosakta ho ke nhi mai kya karo

  • @manjushasingh2626
    @manjushasingh2626 Před 2 lety +2

    Sir मुझे ocd है
    अब सारी दवा छोड़ दी
    कोई फायदा नही
    अबनींद की और सेरोटोनि कि एक tb लेती हूं
    तोखुश रहती हूं
    1012से
    दवा खा रही थी

    • @abhisheksinha6096
      @abhisheksinha6096 Před 2 lety

      Jub सेरोटोनि ki tablet lati hai aap too ab ocd विचार nahi aate hai apko...
      Plszz btaana...

    • @manjushasingh2626
      @manjushasingh2626 Před 2 lety +3

      @@abhisheksinha6096 मन खुश रहता है गुस्सा भी नही आता
      और प्रोब्लेमभी कम हूई
      Bk सूरज भई के वीडियो देखें

    • @abhisheksinha6096
      @abhisheksinha6096 Před 2 lety

      Apna number de sakti hai taaki apse detail me puch sake

    • @aashusach..8282
      @aashusach..8282 Před rokem

      Di tab ka name bataiye pliz. 🙏🏻🙏🏻

    • @aashusach..8282
      @aashusach..8282 Před rokem +1

      Di tablet ka name bataiye na pliz.. 🙏🏻

  • @sunnygagat1370
    @sunnygagat1370 Před 2 lety

    Sir dippresion se bahar aane ke liye kya kre

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety +4

      Don't worry it's very simple
      1. sabse pahle aap apne kisi bhi best friend ke pass roj ek 1 hour ke liye baithe or apni har ek baat share Karen.
      2. dost jo bhi Ho vah Keval sakaratmak vichar rakhne walai hona chahie.
      3.Iske bad aap apne paltu pet ke pass baith sakte hain uske sath Khel sakte hain hain.
      4.Apne parents mein jiske sath bhi aaram se aur man se baat kar sakte hain unke paas baithe aur baat Karen.
      4. raat ko sote samay aur subah uthate hi Apne aapko kuchh positive affirmations dene honge like mere pass sab kuchh hai main har ek prastuti se ladne ki chamta rakhta hun.
      5. Dukh ek Bhavna hai aur koi bhi bhavna mein stability nahin Hoti isliye har ye sab kuchh samay bad beet jaega.
      6. main pahle bhi Khush tha aur main abhi bhi Khush hun main jaisa bhi hun Khush hun mere parents mere sath Khade Hain mere acche dost mere sath Khade.
      7. koi bhi dukh itna bada nahin hai Jo mere manobal ko confidence ko kam kar sake.
      8.main Khush hun main Khush tha aur Khush rakhunga
      that's it.... Yah positive affirmation hai jo aapko lagatar man hi man daurani hai aap bahut jaldi depression free ho jaenge aur yahi psyclogical sach hai .

    • @rdatta3611
      @rdatta3611 Před 2 lety

      @@DrDwarka No medication like SSRI?

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Vo aap kisi psychiatrist k prescription p hi le skte h

    • @rdatta3611
      @rdatta3611 Před 2 lety

      @@DrDwarka oh sab dawa safe h kya?

    • @DrDwarka
      @DrDwarka  Před 2 lety

      Medicine related knowledge aapko Psychiatrist se hi leni chahiye

  • @Monika_Jain21
    @Monika_Jain21 Před 2 lety +2

    Can i contact to You

  • @tapaswinipatel2638
    @tapaswinipatel2638 Před rokem

    Thank you ,Sir.