Aastana Hai Yeh Kis ShahEZeshan Ka | English Translation | Nusrat Fateh Ali Khan | Qawwalies

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 21. 05. 2020
  • #Aastana Hai Yeh Kis ShahEZeshan Ka, #English translation, #Nusrat Fateh Ali Khan, Best #Islamic #Qawwalies
    Lyrics
    Allah ne kiya baargaah e Gaus jalee hai
    Gardan ko jhukkaay hue aik aik wali hai
    Har gaam pe sajde ki tamanna hai jabeeN ko
    Ye kis ka dar e naaz hai ye kis ki gali hai
    AastaaN hai ye kis ka
    Sajde jahaN pe karte haiN aa ke farishtay
    //aastaaN hai ye kis ka
    Malaaiik sar jhukhaate haiN wali aankhaiN bichaataiN haiN dekho
    //aastaaN hai ye kis ka
    AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
    Ni baarghaah e hazrat e gaus as saqalain ast
    Naqade kamare haidar o nasl e hasanain ast
    Madarsh hussainii nasabast o pidaray oo
    Zaulaad e hussan yani kareem ul abawanain ast //AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
    Jhukhee behr e ibadat jab shah e baghdad ke dar par
    Ajab tauqeer e sajdah apni paishaani mai dekhee hai
    -Qalb haibat se larzaaN hai insaan ka marhaba marhaba
    Hai asar bazm par kis ke faizaan ka marhaba marhaba
    Ghar basaade meri chashm e weeraaN ka marhaba marhaba
    Chand nikla hasan ke shabistaan ka marhaba marhaba-
    //chand nikla wo nikla
    Marhaba marhaba wo wo chand nikla wo nikla
    -Sar ki zeenat amama hai irfaan ka marhaba marhaba
    Jubba tan par Muhammed ke ihsaan ka marhaba marhaba
    Rang aankhoN mai Zahra kai faizaan ka marhaba marhaba
    Roop chehre pe Ayaat e Quraan ka marhaba marhaba
    Saj ke betha hai naushaah Jeelaan ka marhaba marhaba-
    Nagar nagar mai karo manaadi
    Hai shaah e JeelaaN ki aaj shaadi
    //Saj ke ..
    Sare walioN ko mehmaaN banayia gaya
    Gaus e Azam ko doolha banayia gaya
    //wo wo Saj ke betha hai naushaah Jeelaan ka marhaba marhaba (Chants)
    //Saj ke ...
    MeeraN ke ghar hai shaadi aaye wali nabi sab
    Taiba se Mustafa bhi tashreef laa rahaiN haiN
    //Saj ke betha ....
    NazroN ko shauq e deed hai mangatoN mai jashan e eid hai
    //Saj ke ...
    -Bazm e qaun o maqaaN ko sajaaya gaya aaj Salleh Ala
    SaaibaaN rehmatoN ka lagaaya gaya aaj Salleh Ala
    Ambiya Auliya ko bulaaya gaya aaj Aalleh Ala
    Ibn e Zahra ko doolha banaya gaya aaj Salleh Ala
    Urs hai aaj mehboob e Subhaan ka marhaba marhaba-
    Aao deewano muraadaiN apni apni maang lo
    //Urs hai ...
    JhooliaN har sawali ki bhar jaayaiN giiN
    Dar sakhi ka khula hai ataa ke liye
    //Urs hai .....
    -Aasnaa manzalat kis ka aiwaan hai wah kiya shaan hai
    Aaj khalq e Khuda kis ki mehman hai wah kiya shaan hai
    La Takhaf kis ka mashhoor farman hai wah kiya shaan hai
    Bil yaqeeN wo shehenshaah e Jeelaan hai wah kiya shaan hai
    Haq diya jis ko qudrat ne ailaan ka marhaba marhaba
    Haq diya .....
    -Har taraf aaj rehmat ki barsaat hai wah kiya baat hai
    Aaj khulne pe qufl e muhimmaat hai wah kiya baat hai
    Chaar soo jalwa aaraaiyai zaat hai wah kiya baat hai
    Koi bharne pe kashkol e haajaat hai wah kiya baat hai
    Aao faqeero aao jholee ko apni bhar lo
    //koi bharne ..
    Ye waqt hai karam ka sarkar karam farmataiN haiN
    //Aao koi ..
    Jaagne ko muqaddar hai insaan ka marhaba marhaba
    -Gulshan e Mustafa ki phaban aur hai ye chaman aur hai
    Shah e Abraar ki anjuman aur hai ye chaman aur hai
    Rooaay gul dasta e panjtan aur hai ye chaman aur hai
    Shaan e Aal e Hussain o Hasan aur hai ye chaman aur hai
    -Do larre ki zameen kitni masood hai khita e jood hai
    Pir Mehr e Ali jis mai maujood hai khita e jood hai
    //Pir mehr e ali pir mehr e ali
    //Pir ..
    Koi kisi ka koi kisi ka mere
    //Pir ..
    Majnoo ko mili Laila, Yusuf ko Zulaikha aur mujh ko mere
    //Pir ...
    Khiyaal apna apna pasand apni apni mere to haiN
    //Pir mehr ..
    Pir Mehr e...
    -Do larre ki zameen kitni masood hai khita e jood hai
    Pir Mehr e .....
    Kiya haseen manzar e shaan e mahmood hai khita e jood hai
    Har aayaan ghamghosh e mahmood hai khita e jood hai
    Auj paya hai phir cheez o qaiwaan ka marhaba marhaba-
    -Sham e tauheed dil mai jala kar piyo dil laga kar piyo
    Shah e batha ki khairaat paa kar piyo dil laga kar piyo
    Shaykh ke aastane pe aa kar piyo dil laga kar piyo
    Aankh mehr e ali se mila kar piyo dil laga kar piyo
    Khud pilane pe saaqi hai Jeelan ka marhaba marhaba
    -Hai adab husan ka baank pan saamne ik chaman samne
    Ahl e tatheer haiN khaima zan saamne panj tan saamne
    Hai ye rooaay hasan ki phaban saamne ya hasan saamne
    Jalwa farmaaN hai Gaus e Zaman saamne zofigan saamne
    Daikhiye kiya bane chashm e hairaan ka marhaba marhaba-
    -Shah e Jeelaan ki chaukat salamat rahe ta qiyamat rahe
    Naqsh e paa ka chaman pur karamat rahe ta qiyamat rahe
    Khalate ijtebaaze be qaamat rahe ta qiyamat rahe
    Sar pe walioN ka taaj e imamat rahe ta qiyamat rahe
    Silsila Gaus e Azam ke faizaan ka marhaba marhaba
    Shah e baghdad peeraan e peer aap haiN dastgeer aap haiN
    Dastgeera kar mehr tu mehr ali te tere baaj hai kaun Allah raasiaa daa
    //shah e.....
    Mehr hai saari Ali di shak na reh gaya ik tarah
    Karam kita Gaus e Azam sadaaN sardiaN waliaN
    //shah e ....
    Shah e ....
    Kis naseer e hali ke naseer aap haiN dastgeer aap haiN
    Koi hamsar nahin aap ki shaan ka marhaba marhaba
    AastaaN hai ...
    Song :Aastana Hai Yeh Kis Shah-E-Zeshan Ka
    Artist :Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
    Album :Best Islamic Qawwalies - Complete Original Recordings
  • Hudba

Komentáře • 17