Eik Moar Aur Kulang - Urdu Poetry - Ismail Merathi

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 22. 12. 2017
  • Eik Moar Aur Kulang
    Urdu Poetry
    Eik Moar aur Kulang:
    Dum Moar ne phool kar dikhai
    Aur bola Kulang se ke bhai
    Kya khoob hain naqsh, aur kya rang?
    Duniya mujhe deikhkar hui dang
    Meiri si kahan hai, aapki dum
    Kar sakte nahin muqabla tum
    Bola us se Kulang hans kar
    Haan! aapke la jawab hain par
    Lekin nahin kuch bhi kaam aate
    Bachchon hi ke dil ko hain lubhate
    Urne nahin deiti dum tumhari
    Leite hain pakad tumhein shikari
    Yeh kah ke paron ko patphata ke
    Bola! ooncha hawa pa jaake
    Aao karein aasmaan ka pheira
    Kuch dam hai, to saath do na meira
    Munh apna sa leike rah gaya Moar
    Tha us mein kahan uraan ka zoar
    Bhata hai jinhein nira dikhawa
    Woh loag hain Moar ke bhi bawa
    Bas unko hai teep taap ki dhun
    Sheikhi ke siwa nahin koi gunn
    Deikhein kise yaad hai zabani
    Moar aur Kulang ki kahani
    Ismail* Merathi.

Komentáře • 6

  • @jai-hind82
    @jai-hind82 Před 6 lety +1

    sahi baat haai ji..

  • @zafartahirkhan8792
    @zafartahirkhan8792 Před 6 lety +1

    Bohat khoob

  • @munisanagori7201
    @munisanagori7201 Před 3 lety +1

    What is the english name for kulang

    • @mahakavi
      @mahakavi  Před 3 lety +1

      Qaaz in urdu, Goose in English.

    • @munisanagori7201
      @munisanagori7201 Před 3 lety

      Wow thanks so much. So it's called Qaaz in urdu and Kulung?

    • @mahakavi
      @mahakavi  Před 3 lety

      Qaaz and Kulang, both names are mentioned in Firozul lughaat, Urdu. Don't know the origin, weather it is Persian or Hindi.