Arbaeen Noha 2022 | Main Chala Karbobala | اربعینِ حسینی | Mazahir Abbas Noha 2022 | Chehlum Noha

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 6. 09. 2024
  • 20 Safar Noha 2022 | Arbaeen Noha 2022 | Main Chala Karbobala | اربعینِ حسینی | Mazahir Abbas Noha 2022 | Chehlum Noha 2022
    Nauhakhwan | Mazahir Abbas
    Poet | Salman Azmi (Late)
    Composer | Janab Own Rizvi
    Originally recited by Own Rizvi
    Audio | Lawa Studio
    Chorus | Own Rizvi
    Video | OA Productions
    Graphics | Qasim Shah Zaidi
    #mazahirabbas # #nohay2022 #muharram #ImamHussainNoha #Karbala #newnoha2022 #imamhussain #newnohay #muharram1444 #chehlumnoha #arbeennoha #arbaeen #labbaikyahussain #safareishq #arbaeen2022 #najaftokarbala #najaftokarbalawalk #imamhussain #karbala #subscribe #arbaeennoha2022 #arbaeenwalk
    - NOHA LYRICS -
    Ek muddat se mere dil mein armaan yeh tha,
    Kaash mujhko bhi kabhi din yeh dikhlaaye khuda
    Roza e sheh pa karun ek sajda mein adaa
    Hogayi poori dua, shukriya karne adaa
    Main chala karbobala
    Kaba e dil ki taraf hai qadam mera barha
    Zeb e tann kyu na karun aaj mein ehraam e azaa
    Beqaraari hai mujhe dil tarapta hai mera
    Choom ne khaak e najaf choom ne khaak e shifa
    Saaya karta hai mere sarr pa kaabe ka ghilaaf
    Mujhko karna hai waha rauza e sheh ka tawaaf
    Jhaali roze ki karun apni palko se mein saaf
    Aansuon se mein likhun ek areeza e
    Mukhlisi ka hi nahi, na hi ghurbat ka asar
    Baat saari hai yehi jo bulaawa ho agar
    Khud woh karte hai ataa phir hamein zaad e safar
    Yeh aqeeda hai mera izne shabbir mila
    Safar e karbobala ka irada jo kiya
    Maa ne phir maula raza ki zamanat mein diya
    Yun to baazu pa mere ek sikka hai banda
    Mere zaamin hai magar ba khuda maula raza
    Apna zaair ko sharaf, ho jo maloom agar
    Umr bhar karta rahe karbala ka woh safar
    Hai fazilat ko bohot ek hi qaul idhar
    Lene aate hai hamein khud shehenshaahe wafaa
    Hoke bedast jahan tha alamdar gira
    Teer asghar ke lagaa neza akbar ke lagaa
    Ek shab ka dulha haye pamaal hua
    Saare kunbe ka waha sheh ko dene pursa
    Khusk gardan pa jahaan kund khanjar tha rawaan
    Nauha karti thi wahan baal khole hue maa
    Dekh kar khaa gayi gash ek bahan tishnadahan
    Ye tasawwur lekar ashq e khoon rota hua
    Maine salman sadaa bas yahi maangi dua
    Hoga jis waqt kabhi karbala jaana mera
    Pyaase kunbe ka waha main karunga pursa
    Ek pal ko na ruke kabhi maatam nauha

Komentáře • 14