Soze Dil Soze Jan Soze Gham Zindagi - Old Ghazal - Shamim Jaipuri

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 31. 12. 2017
  • Very Old Classical Ghazal:
    Soz e dil, soz e jaan, soz e gham zindagi
    Asl mein ab hui hai aham zindagi
    Dha rahi hai sitam par sitam zindagi
    Phir bhi nazron mein hai mohtaram zindagi
    Apne mitne ka gham kuch nahin gham ye hai
    Kaun uthaeiga yuun tere gham zindagi
    Apna gham, apne ashk, apni kuch hasratein
    Aur deite bhi kya tujhko hum zindagi
    Zindagi ke liye umr darkaar hai
    Zindagi ke liye itni kam zindagi
    Zindagi bhar hamein tu ne aansu diye
    Phir bhi hans kar mile tujh se hum zindagi
    Marte marte bhi hum muskurate rahe
    Rakh liya hum ne tera bharam zindagi
    Woh nahin hain to jeene se kya faaeda
    Ab bata kya karein tera hum zindagi
    Aey Shamim* ek gham e dahr, ek unka gham
    Eik gham maut hai, eik gham zindagi
    Shamim* Jaipuri

Komentáře • 12