Har Lehza Ba Shakal Aan || Qawwali By Sarfaraz Chishti || Present By Mehfil E Samaa Qawwali

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 11. 11. 2023
  • TRANSLATION
    یار من با کمال رعنائ
    خود تماشہ و خود تماشائ
    Mera “YAAR” mukammil husn ke sath jalwagar hua,
    Jo "KHUD" jalwon ka banane wala aur “KHUD” un jalwon ka dekhne wala hai.
    ہمنے بیپرده تُجھے مہجبیں دیکھ لیا
    آب نہ کر پرده کے او پردانشیں دیکھ لی
    Ae Noorani jabeen(Forehead) waaley
    humne tujhe bepardah dekh liya,
    O! pardanashe’en ab pardah na kar humne tera jalwa dekh liya.
    ہمنے دیکھا تُجھے آنکھوں کی سِیاہ پُتلی میں
    سات پردو میں تُجھے پاردہ نشیں دیکھ لیا
    Humne dekha hai tujhe aankhon ki siyaah putli mein,
    Saat(7) Pard’on se bhi ae pardanasheen tera jalwa humne dekh liya.
    ہم نظربزوں سے تو چھپ نہ سکا جانیجہاں
    تو جہاں جاکے چھپا ہمنے وہی دیکھ لیا
    Muhabbat karne waalo’n ki nazron se “TU” chup na saka
    ae “JAAN-E-JAHAA’N”
    “TU” jahan jahan jis jis mein jalwagar ho ke chupa
    humne “TUJHE” waha dekh liya.
    تیرے دیدار کی تھی ہمکو تمنا سو تُجھے
    لوگ دیکھنغے وہاں ہمنے یہیں دیکھ لیا
    “TERE” deedar ki ahele muhabbat ko tamanna thi,
    Duniyavi masghul log to tera jalwa qayamat ke din dekhenge,
    lekin ahele muhabbat ne to teri shifat se bhare tere dosto’n mein
    tera jalwa yahi dekh liya.
    ہر لحظہ بہ شكلے بتِ عيار بر آمد
    bayak waqt "WO AAQIL" mehbub ek nayi hi shakal mein zaahir hota hai
    عابد شودی، زاہد شدی، واعظ شودی لیکن
    Ibadat guzar ho sakta hai, parhezgar ho sakta hai,
    wa’az bayaan karne wala ho sakta hai lekin
    صوفی نہ شدی مشربے رندا زه شناسی
    Sufi nahi ho sakta aur ye baat mohabbat karne waale aashiq behtar jante hein.
    ہر دم بہ لباس دگر آں يار بر آمد
    Har bar “WO” alag libas ya’ani alag alag shakal mein za’ahir hota hai,
    ہر دم بہ لباس دگر آں يار بر آمد، گہہ پير و جواں شد
    Har bar “WO” alag libas ya’ani alag alag shakal mein za’ahir hota hai,
    kabhi budhe ki shakal mein za’ahir hua to kabhi jawan ki shakal mein.
    خود کوزہ و خود کوزہ گر و خود گلِ کوزہ
    “WO KHUD” kuza(bartan) hai,
    “KHUD” kuza banane wala bhi hai,
    aur “KHUD” us kuze ki matti hai
    خود کوزہ و خود کوزہ گر و خود گلِ کوزہ، خود رندِ سبوکش
    “WO KHUD” kuza(bartan) hai,
    “KHUD” kuza banane wala bhi hai,
    aur “KHUD” us kuze ki matti hai,
    aur “KHUD” us kuze se peene wala hai
    خود بر سرِ آں کوزہ خریدار برآمد
    Aur phir “KHUD” us kuzey ke kharidar ke taur pe za’ahir hota hai,
    بشکست رواں شد
    Aur “USKE” liye us kuzey ko tor(توڑ) dena bhi jaa.iz hai
    خود بر سرِ آں کوزہ خریدار برآمد، بشکست رواں شد
    Aur phir “KHUD” us kuzey ke kharidar ke taur pe za’ahir hota hai,
    Aur “USKE” liye us kuzey ko tor(توڑ) dena bhi jaa.iz hai
    نے نے كہ ہمو بود كہ می آمد و می رفت
    “WO WAHI” tha jo har zamane mein aata raha aur ja’ata raha,
    تا عاقبت آں شكلِ عرب وار برآمد
    Bil aakhir wo aik “arab(ﷺ)” ki shakal mein za’ahir hua,
    دارائے جہاں شد
    Aur wohi(ﷺ) jahaan ka baadshah hai.
    ہمنے بیپرده تُجھے مہجبیں دیکھ لیا
    Ae Noorani jabeen(Forehead) waaley
    humne tujhe bepardah dekh liya,
    حَوصْلا دیکھو میری سادَہ دِل کا ياروں، عشق کرتا ہوں میں مگر عشق کو میں سمجھا نہیں
    Hausla dekho meri sa’ada dili ka, ishq to karta hu lekin ishq ko mein samjha hi nahi,
    عاقل والوں میرا معیار جنوں تو دیکھو، اُسپے مارتا ہو جیسے آنکھ سے دیکھا ہی نہیں
    Aql waalon mere ishaq ki hadd dekho, mein us “ZAAT” pe marta hu jo
    mashriq-o-magrib ka malik hai jisey mene aankh se dekha hi nahi hai
    عشق کے بازار میں خود کو لوٹا کر دیکھ لے
    Us aik “KHUDA” ke ishq mein khud ko loota kar to dekh
    عشق کے بازار میں خود کو لوٹا کر دیکھ لے، یار خود موجود ہے پردہ اٹھا کر دیکھ لے
    Us aik “KHUDA” ke ishq mein khud ko loota kar to dekh,
    “WO” to hama-waqt maujood hai teri ragey jaan se bhi karib,
    aik bar pardah hata kar bhi dekh le
    جُسْتُجُو کرتا ہے کیا دَیر و حَرَم میں یار کی
    “USEY” sirf deir o haram ke zariye dhundhne ki justuju kyun rakhta hai
    اپنے دل میں عشق کی شَمْع جَلا کر دیکھ لے
    Apne dil mein ishaq ki shama jala ya’ani, wohi karne lag ja jo “WO” chahta hai,
    phir dekh tujhe kya kya hasil hoga.
    : CONTINUE IN PINNED COMMENT:
  • Hudba

Komentáře • 12

  • @MehfilESamaaQawwali
    @MehfilESamaaQawwali  Před 8 měsíci +2

    *CONTINUE*
    پیر کے قدموں میں رہنا ہی عروجے بندانگی
    Qamil peer ke taa’bey rehne mein “ALLAH” ki bandagi mein urooj hasil hota hai
    ہر آدا سے پیر حمید کو منہ کے دیکھ لے
    Agar chahta hai tu sirate mustakim pe chalna to,
    is sikhne ki chaht ke liye apne peer ko har ada se mana.
    مانیئے بَیعَت یہی ہے بیچ دے اپنی خودی
    Peer e qamil se bayat ke ma’ani yehi hai ke tu apni khudi mita,
    aur matti mein mil ke dhul barabar ho ja
    اگر کچھ مرتبہ چاہے، تو بیچ دے اپنی خودی
    Agar tu maqamey bashariyyat mein bara(بڑا) martaba chahta hai to,
    tu apni khudi mita aur matti mein mil ke dhul barabar hoja
    مانیئے بَیعَت یہی ہے بیچ دے اپنی خودی
    Peer e qamil se bayat ke ma’ani yehi hai ke tu apni khudi mita,
    aur matti mein mil ke dhul barabar hoja
    ہوجا تو مشرف حق ہستی مٹا کر دیکھ لے
    Tu “ALLAH” ki zaat mein fanaa o mashruf ho,
    aur apni hasti ko mita kar dekh le, phir dekh tujhe kya kya ha’asil hota hai.
    کیوں پھرتا ہے بن بن میں؟۔
    Ae insan kyun tu idhar udhar mara mara phirta hai?
    کیوں پھرتا ہے بن بن میں؟ دیکھ اُسے اپنے من میں
    Ae insan kyun tu idhar udhar mara mara phirta hai?
    apni hi zaat pe ghaur kar
    khud se hi tujhe “WO” milega jiske liye tu mara mara phirta hai
    رومیؔ سخن كفر نگفتہ است و نگويد
    Rumi ne kabhi kufr ki baat na ki na hi wo karta hai,
    رومیؔ سخن كفر نگفتہ است و نگويد، منكر نشويدش
    Rumi ne kabhi kufr ki baat na ki na hi wo karta hai,
    wo munkir nahi hai.
    کافر شود آن کس که به انکار برآمد، مردود جہاں شد
    kafir to wo jisne inkar kiya ya’ani shaitaan,
    aur wahi mardoodey jahaan hai.

    • @nayyarkhan4689
      @nayyarkhan4689 Před 8 měsíci

      😊😊😊😊😊😊😊😊😊😊😊😊😊😊😊😊😊😊😅

  • @mohdabdulmajidsiddiqui8396
    @mohdabdulmajidsiddiqui8396 Před 3 měsíci

    Mashallah bahoot khubsoorat kalam saat he saat translation ❤......

  • @rijvankhan8957
    @rijvankhan8957 Před 7 měsíci

    Mashallha

  • @diwanabdulkarim9893
    @diwanabdulkarim9893 Před 8 měsíci

    Masha Allah

  • @saudproductions3941
    @saudproductions3941 Před 8 měsíci

    Bashakal aan *

  • @user-fi4fs2go1y
    @user-fi4fs2go1y Před 8 měsíci

    ❤❤❤❤❤❤❤❤

  • @ramizalimakrani1037
    @ramizalimakrani1037 Před 8 měsíci

    Mashaallah ❤️❤️❤️

  • @hasanmanauri8726
    @hasanmanauri8726 Před 8 měsíci

    Hashmi sarkar karam yaa Hashmi Hamid Ali ❤❤❤

  • @vishalbedi6187
    @vishalbedi6187 Před 2 měsíci

    🤲🏻🌹👑Ya Mere Sabir🪔🤲🏻👨‍🍼🌹🧑‍🍼👨‍🍼🌹🧑‍🍼🤲🏻😘🥺🥰♥️🫂🤲🏻🖊️📚🏡🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻

  • @i_am_nwz
    @i_am_nwz Před 8 měsíci

    *NOTE*
    IF YOU FIND ANY TYPING MISTAKE IN THE CAPTION OF THE VIDEO THEN I'M APOLOGIZING FOR IT BECAUSE I'VE EDITED THIS VIDEO IN VERY SHORT TIME PERIOD.

  • @user-fi4fs2go1y
    @user-fi4fs2go1y Před 8 měsíci

    ❤❤❤❤❤❤❤❤