Nohay 2024 | Bismillah Ya Aba Abdillah | Ameer Hasan Aamir Noha 2024 | Noha Hazrat Ali Akbar (a.s)

SdĂ­let
VloĆŸit
  • čas pƙidĂĄn 7. 09. 2024
  • Nohay 2024 | Bismillah Ya Aba Abdillah | Ameer Hasan Aamir Noha 2024 | New Noha Shahadat Ali Akbar 2024/1446
    #noha2024 #newnohay2024 #nohay #ameerhasanamir #muharram2024
    🎞V I D E O I N F O🎞
    â–șReciter - Safeer E Aza, Syed Ameer Hasan Aamir
    â–șPoet - Ainee Rizvi
    â–șChorus - Rizwan Mirza & Team
    â–șYear - 2024/1446 Hijri
    â–șAudio - ODS (Audio Mix & Master Omar Quraishi)
    â–șEdit by - Azmat Hyder
    â–șVideo - â€Ș@AzadariChittora‬
    â–șProduction - AHA Records
    â–șLYRICS:-
    Neza seene se nikalne ki jo baari aayi,
    Shaah par haaye museebat bhi yeh bhaari aayi.
    Arsh se farsh pe nabiiyon ki sawaari aayi,
    Roti sar peet-ti Ahmed ki dulaari aayi.
    Aasteen ulte hue Shah-e-Huda baithe the,
    Haath kandhe pe dhare Sher-e-Khuda kehte the:
    "Kheench le seene se barchhi ki ani,
    Bismillah.
    Ya Aba Abdillah...
    Ro ke kehte the yeh bete se Ali, Bismillah.
    Ya Aba Abdillah...
    1) Ek mahshar hai malaaik mein sabhi rote hain,
    Tere pehlu mein Rasool-e-Arabi rote hain.
    Daad dete hain Ibrahim nabi, Bismillah.
    Ae Aba Abdillah..
    Kheench le seene se barchhi ki ani, Bismillah ya Aba Abdillah
    2.Tu mera laal hai yeh sabko bata de beta,
    Baap ke khoon ki taseer dikha de beta.
    Haath larze na tera mere jari,
    Bismillah...
    Ya Aba Abdillah...
    3.Ae mere laal, akela tu nahi jangal mein,
    Ambiya auliya hain, bhai Hasan maqtal mein.
    Teri maan Fatimah Zahra hain khadi,
    Bismillah ya Aba Abdillah
    4.Wada Tifli ka kiya tha jo ada kar beta,
    Ro le Akbar ko kaleje se laga kar beta.
    Thaam le seene ko, padh Nad-e-Ali,
    Bismillah ya Aba Abdillah
    5.Sher zakhmi hai yeh jangal mein pada dekh na le,
    Neza Akbar ke kaleje mein gara dekh na le.
    Roti sar peet-ti Zainab hai chali,
    Bismillah ya Aba Abdillah
    6.Lashe ghar bhar ki hain kandhe pe uthaye tune,
    Shane Abbas ke seene se lagaaye tune.
    Imtihaan aur yeh khanjar ka sahi,
    Bismillah ya Aba Abdillah
    6.Ae mere laal, na kar der, taqaddum waladi,
    Warna ho jayega andher, taqaddum waladi.
    Jald aasan ho mushkil ki ghadi, Bismillah ya Aba Abdillah
    7.Mujhko maloom hai duniya se safar karta hai,
    Samne aankhon ke ek laal jawan marta hai.
    Hoti hai seene mein takleef badi, Bismillah ya aba Abdillah
    8.Neza seene se joonehi Shah ne nikala Aamir,
    Ho gaya sabka kaleja teh o baala Aamir.
    Aini kehta raha woh Rab ka wali, Bismillah ya Aba Abdillah
    ___________________________________
    || PLEASE WACTH IN 4K ||
    ___________________________________
    #AMEER_HASAN_AAMIR #AYAM_E_FATIMA #NOHA2020
    ___________________________________
    Stay Connected with us via our Social Media:-
    â–șSUBSCRIBE :// / ameerhasanaamir
    â–șLIKE : / ameerhasanaa. .
    â–șInstagram ://safeer_e_aza_official/
    __________________________________
    END
    __________________________________

Komentáƙe • 146