Take Decisions Wisely || By Maitreyee Davda ||

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 8. 09. 2024
  • Hey,
    Here is the full story...
    ek din raman aur uska bachcha jungle mein ghum rhe the...
    raman ne bachche se puchha "kya tum jaante ho ki purane zamane mein shikari bandaro ka shikar kaise krte the?"
    bachche ne papa ke samne dekhkar sir hilake na kahne ka ishara kiya...
    raman ne kaha,"ped pr unka pichha karne ya niche se teer chalane ki bajaye woh log ek vajandar jar mein bandaron ka pasandida khana rakh dete the... aur jar esa hota tha ki uski gardan bdi patli hoti thi..."
    woh log jar ko zameen pr rakh kr dur kahin jaake chhip jate the...
    thodi der baad bandar jab jar ke paas aata tha... andar rakhe khane ko dekhta tha... tab woh uss bhojan ko bahar nikal ne ke liye jar ke andr hath dalke bhojan ko apni mutthi bandhke bahar nikal ne ka prayas krta tha... pr ptli gardan hone ki wajah se woh apni mutthi bahar nahin nikal pata tha...
    woh prayas krta rha krta rha... pr koi fayda nahin hua... bhojan ko chhode bina apna hath nikal ka koi tarika nahin tha....
    khana jaane dene ki bajaye woh apni jid pe ada rha...
    itne mein unn shikarion ne akar uss bandar ko pakad liya...
    raman ne apne bachche se kahan , " uss bandar ki tarah mat banana , jeevan mein, ek aur din ladane aur vyakti ke roop mein vikasit hone ke lie, aapako pata hona chaahie ki kab chhodana hai, kab aage badhana hai, aur kab jo kuchh bhee aapako rok raha hai use jaane dena hai. ”
    Moral of the story:
    1. kabhi-kabhi aapako bhavishy mein kuchh behatar hasil karane ke lie jo kuchh aapake paas hai use chhod dena thik hain. yaad rkhiye zid ko apana patan mat banane dijiye!
    2. Motivation achchhi cheez hain pr galat disha mein motivation humare bhavishya ke liye badi khatarnak ho skti hain...
    If you have any very good stories ...
    mail me on : maitreyee.davda@gmail.com
    To hear my stories as podcast :
    open.spotify.c...
    live in the present...

Komentáře • 25