Nabi ﷺ Aur Rukana Pehlwan Ki Kushti | Rukana Pahalwan Ka Waqia | Serat E Nabvi ﷺ

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 3. 07. 2024
  • #RukanaPahalwan #SeratENabvi #RahEHayatOfficial
    Nabi Kareem ﷺ ki Shujaat aur Bahaduri | 🏆💪 Rukana Pahalwan ka Waqia | Islamic History
    Nazarene! Rasul Kareem ﷺ ki rehmdili aur narmi wa shafqat ke bepanah waqiat aap ne sune honge lekin yeh bhi jaan lijye ke Allah ke Mehboob Nabi ﷺ ki shujaat wa bahaduri ka chircha bhi aam tha. Aaj ki is video mein hum aap ko pyare Aaqa ﷺ ki Rukana Pahalwan aur uske bete Yazid bin Rukana se kushti ke muqabla aur Rukana Pahalwan ke qabool-e-Islam ke mutalliq batayenge. 🥋✨
    Hum aapko batayenge ke Rukana Pahalwan ka Huzoor Akdas ﷺ se kya rishta tha? Aur iske ilawa hum aapko pyare Aaqa ﷺ ki shujaat wa bahaduri ke waqiat sunayenge ke kis tarah aap ﷺ ne har mahaaz par apni bahaduri ka muzahira kiya. 💖🌟
    Video buhat hi maloomati aur imaan afroz hone wali hai, aapne video ko skip nahi karna hai, aakhir tak hamare sath rehna hai. Aur agar aap hamare channel par naye hain to sabse pehle hamare channel ko subscribe kar lein. 📺🔔
    Nazarene! Aap ﷺ ko kushti ka khel be had pasand tha aur aksar bachon mein kushti ke muqable bhi karwaya karte the. Kushti mein aap ﷺ ki mahirat ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke aap ﷺ ne Arab ke mashhoor baap bete ko paanch baar kushti mein chit kiya tha. Rukana namie is pehalwan ki jismani taqat ke bare kaha jata tha ke woh akela 200 aadmiyon ka muqabla karke unhe pichar sakta tha lekin usne Janab-e-Rasool Allah ﷺ se lagatar do baar shikast khai. 🥇💫
    Baap ka haal dekh kar beta maidan mein aaya, beta bhi aisa pehalwan tha ke usko bhi aaj tak kisi ne shikast nahi di thi lekin Rasool Allah ﷺ ne bete ko teen baar charon shane chit kiya. 📜👑
    Sunane Tirmizi mein bayan kiya jata hai, "Ek roz Nabi Kareem ﷺ Arab ke kisi kohistani ilaqa se guzarr rahe the ke Rukana se mulaqat ho gayi. Sarwar-e-Aalam ﷺ ki ye aadat mubarak thi ke jo shakhs bhi mulaqat karta Huzoor ﷺ usko Islam qubool karne ki dawat zaroor dete. Chunancha Sarkar-e-Do Aalam ﷺ ne Rukana ko bhi dawat di 'Ae Rukana tum but parasti se tauba karo aur Allah Ta’ala jo Wahda La Shareek hai uspar imaan le aao.' Usne kaha 'main ek shart par aap ﷺ ki is dawat ko qubool karne ko tayar hoon, agar aap ﷺ mujhe pichad dein to main imaan le aaoonga.' 🕋✨
    Nabi Kareem ﷺ ne is shart ko qubool kiya aur usse kushti larki usko pichad diya. Woh is shikast par hairan tha. Doobara kushti larkne ki dawat di, Sarkar-e-Do Jahan ﷺ ne doosri martaba bhi usko zor ke sath zameen par patakh diya. Rukana is karishma ko dekh kar Islam mein daakhil ho gaya. 👏🌟
    Baap ki shikast ke baad uska beta Yazid bin Rukana bhi jo ke mana hua pehalwan tha, teen sau bakriyan le kar baargah-e-Nabuwwat ﷺ mein hazir hua aur kaha 'Ae Muhammad ﷺ aap mujhse bhi kushti lariye.' Sarkar ﷺ ne tabassum farmaaya 'Ae Ibn Rukana agar main tumhein pichad diya to tum kitni bakriyan mujhe inaam mein doge?' Usne kaha 'Ek sau bakriyan main aapko de doonga.' Huzoor ﷺ ne isko bhi teen baar chaaron shane chit kiya aur woh bhi Islam mein daakhil ho gaya. 🌙🐐
    Huzoor ﷺ ke dushman bhi aapki shujaat aur bahaduri ko tasleem karte the. Aap ﷺ ki misal shujaat ko humare liye ek naseehat aur dars hai ke humein bhi har mushkil halat mein hosla nahi khona chahiye. 🤲🌹
    Pyaray Nabi ﷺ ke be-misal ahlaq aur shujaat ke bepanah waqiat hain jo aaj bhi hamare liye roshni ka minar hain. Allah humein apne Nabi ﷺ ke sath sachay ishq aur unki sunnat par chalne ki toufeeq ata farmaye. Aameen! 🌟💖
    Dekhna na bhoolein, video ko like aur share zaroor karein aur hamare channel ko subscribe karen taake aap tak aur bhi maloomati aur imaan afroz videos pohonchti rahen. JazakAllah! 😊📽️
    Timestamps:
    0:00 - Introduction
    3:15 - Nabi ﷺ aur Kushti ka Khel
    8:45 - Rukana Pahalwan ka Challenge
    15:30 - Pehli Kushtee: Nabi ﷺ vs Rukana
    21:00 - Doosri Kushtee: Nabi ﷺ vs Rukana
    27:45 - Rukana Ka Beta Yazid aur Nabi ﷺ ki Kushtee
    33:00 - Yazid ka Islam Qabool Karna
    38:25 - Nabi ﷺ ki Shujaat ke Mazeed Waqiat
    43:00 - Conclusion
    Disclaimer:
    This video uses high-quality royalty-free images. All visual content is used under the guidelines of fair use for educational purposes.
    #NabiKiShujaat #IslamicHistory #SeeratENabvi #IslamicStories #ProphetMuhammad #RukanaKaWaqia #MotivationalIslamicSpeeches #QadirKalhoro #InspirationalStories #IslamicContent #FaithAndCourage #ProphetStories #IslamicTeachings #PeaceAndMercy #ProphetMuhammadQuotes
    Subscribe Us Here... ↪►► / @rahehayatofficial
    Like Us On Facebook..↪►► RaahEHayatOfficial
    Follow Us On TikTok:↪►► www.tiktok.com/@rahehayatofficial
    WhatsApp for any Suggestions..↪►► +923153528777

Komentáře • 7