Kia Khabar Kia saza mujh ko milti | کیا خبر کیا سزا مجھ کو ملتی | Naat Sharif Qari Waheed Zafar

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 28. 08. 2024
  • Kya khabar kya saza mujh ko milti, Mere Aqa ne izzat bachali
    Farde isiyan meri mujh se le kar, Kali Kamli mein Apni chupali
    Woh aata par ata karne wale, Aur ham bhi nahin talne wale
    Jaisi deodi he waise bhikari, Jaisa Data hein waise sawali
    Mein ghada hoon magar kis ke dar ka, Woh jo Sultan-e-Kono Makan hein
    Yeh Ghulami bari mustanad he, Mere sar par he taj-e-Bilali
    Mein Madine se kya agaya hun, Zindagi jaise bujh si gayi hai
    Ghar ke andar faza soni soni, Ghar key bahar sama khali khali
    Meri Umr-e-Rawan bas thehar jaa, Ab safar ki zuroorat nahin hai
    Unke qadmon mein meri jabeen hai, Aur haathon mein Roze ki Jali
    Mein faqat naam lewa hun Unka, Unki tawseef mein kya karoonga
    Mein na Iqbal, Khusro na Saadi, Mein na Qudsi na Jami na Hali
    Kya khabar kya saza mujh ko milti, Mere Aqa ne izzat bachali
    Farde isiyan meri mujh se le kar, Kali Kamli mein Apni chupali

Komentáře • 16