Aye Zaifaa Meri Zainab (sa) Ko Kahi Dekha Hai || Syed Basharat Ali Rizvi ||

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 2. 11. 2018
  • Bismillah ||
    Aye Zaifaa Meri Zainab (sa) Ko Kahi Dekha Hai ||
    Syed Basharat Ali Rizvi ||
    -------------
    Nauha :- Aye Zaifaa Meri Zainab (sa) Ko Kahi Dekha Hai ||
    Recitor :-سید بشارت علی رضوی , Syed Basharat Ali Rizvi ||
    Poetry :- Nayyer Jalalpuri Shb ||
    -------------
    “Aye Zaifaa Meri Zainab (sa) Ko Kahi Dekha Hai”
    Recited By Syed Basharat Ali Rizvi
    Writing By Nayyer Jalalpuri Shb.
    Many Condolences To Prophet Muhammad (saww) And Hazrat Ali (as) And Shehzadi Fatima Zehra (sa) And Especially To Imam E Zamana (AJF)
    3rd Safar 1440
    14 October 2018
    at Imam Bargah Ali Haider Shb Hussainiya
    Lohamandi Agra.
    Iltemas-e-Dua
    Like Syed Basharat Ali Rizvi :- Facebook Page :
    / saifakbarabadi
    Subscribe Syed Basharat Ali Rizvi :- CZcams channel :
    / @syedbasharatalirizvi
    Follow Syed Basharat Ali Rizvi On Instagram User Name : syedbasharatalirizvi
    Visit Syed Basharat Ali Rizvi Sound Cloud profile : / sbar-243379024
    #mustlisten #like #share #follow #nauha #matam #agraazadari #muharram #1440hijri #karbala #justiceforhusain

Komentáře • 15

  • @mohammadibrar942
    @mohammadibrar942 Před 2 lety +1

    Masaallah ya hussain

  • @zaibzaidi2174
    @zaibzaidi2174 Před 7 měsíci +1

    Masha allah jio zindabad maula ke azadaar

  • @billeravi5041
    @billeravi5041 Před 3 lety +4

    Masha Allah

  • @sanihasan3787
    @sanihasan3787 Před 3 lety +4

    Jiye mere bhai jiye

  • @kausaralam8687
    @kausaralam8687 Před 3 lety +5

    Masha Allah jinda salamat Abad rahiye aur ye Ajadari hamesha salamat rahe

  • @nargishasan9249
    @nargishasan9249 Před 3 lety +3

    Mashallah, bahut badhiya 😭😭, moula aise hi buland kre tumhari aawaz

  • @sheerazsarwar3066
    @sheerazsarwar3066 Před rokem +1

    Mashallah

  • @azadaribanjariyably7847

    Mashaallah

  • @ayatfatima7854
    @ayatfatima7854 Před 3 lety +4

    Masha Allah Bhai

  • @shaziahasan4999
    @shaziahasan4999 Před 3 lety +6

    Bahot Achha, mashallah!

  • @devjanimahek4301
    @devjanimahek4301 Před 10 měsíci

    Dekha zainab ko to abdullah ne rokar pucha
    aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai
    kis liye aayi hai karne mere ghar tu girya
    aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai
    aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)
    1. Kya Mohammad ki nawasi ko tu pehchanti hai
    kya mere Aun o Mohammad ko bhi tu jaanti hai
    tujhko maloom hai ehwaal mere baccho'n ka
    aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)
    2. Kitne mash'hoor the is shehr mein khairaat uski
    apni maadar se bohot milti thi soorat uski
    odh kar ghar se nikalti thi wo Zehra ki rida
    aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)
    3. Khaicha karta tha qalatein Ali akbar uski
    kitni tazeem kiya karte the Sarwar uski
    aur Abbas diya karte the pehra uska
    aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)
    4. Badliya ghum ki madine pe jo ye chhayi hai
    kya wo shehzadiya'n pardes se laut aayi hai
    aagaya khair se kya sibt e nabi ka kunba
    aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)
    Roke abdullah se tab Hazrat e zainab ne kaha
    Mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai
    aaj tum bhi nahi pehchante chehra mera
    mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai
    mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)
    5. Mai hi zainab hu magar aaj hu mai kitni ghareeb
    legaya nargha e aada mein mujhe mera naseeb
    aur mere paas na mehmil thi, na maqna, na reda
    mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)
    6. Sue maqtool e jafa dasht mein bachhe mere
    hadd to ye hai ke jalaye gaye khaime mere
    jal gaya sholo'n mein besheer ka nanha jhoola
    mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)
    7. Rukn e sarwar ne mala khoon ali asghar ka
    dekha barchi mein jigar maine ali akbar ka
    saamne mere kata hai mere bhai ka gala
    mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)
    8. Kahu kis tarha bandhi thi mere shano pe rasan
    kaise batlau mai wo shaam ke zindaa'n ki ghutan
    hogayi khaak ka pewand sakina dukhiya
    mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)
    9. Kya kahe nayyar o Amir wo bhala ghum ka sama
    wo madina ki fiza ho ya ho zainab ki fugha
    uth rahi thi dar o deewar se nauho ki sadaa
    mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)

  • @rufi7806
    @rufi7806 Před 2 lety +1

    Mashallah...
    Ek request h...Nauhe ke lyrics b daldiya krein...

    • @ayatfatima7854
      @ayatfatima7854 Před rokem

      Nauha lyrics apse download kariye usme apko mil jaye ga noha