Ali Nawaz Nowganvi | New Noha 2 Muharram juloos Anjuman-e-Abidiya Nowgawan Sadat 2024/1446

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 9. 07. 2024
  • #2Muharram #juloos
    #Anjuman-e-Abidiya2024/1446
    Poetry By | Janab Danish Mirza Nowganvi
    Lyrics
    Akber ke dil me jab lagi zalim ki ik sena,n
    Girne laga hussain ka ghode se wo jawa,n
    Rokar pukara Aakhri baba salaam lein
    Mumkin ager ho zeen se bete ko thaam lein
    Kahi uthe tho kahi shah e mashraqain gire
    Likha hai ye ke bahattar jagah hussain gire
    Kalejah thaam ke akber ne di jo ran me sada
    Likha hai ye ke bahattar jagah hussain gire
    1.
    Shikastah hogayi marne se bhai ki bhi kamar
    Jawaan bete ke marne se kab rahi hai nazar
    Hussain dekhna chahte hain par nhi dikhta
    Likha huwa hai bahattar jagah hussain gire
    2.
    Hussain kahete the roker jafa ke lashkar se
    Mujhe batao tho itna kaha,n pe akber hai
    Hussain rote the haste the dekhkar Aada
    Likha huwa hai bahattar jagah hussain gire
    3.
    Khushi manate hain Aada hussain tanha hai
    Jawaan bete ka kandho,n pe haye lasha hai
    Koi nhi hai jo dede hussain ko pursa
    Likha huwa hai bahattar jagah hussain gire
    4.
    Ajab ki dast e bala me ye ik ghadi Aayi
    Seena jo khayinchi tho wo saath me jagar layi
    Bade malal se chooma jawaan ka Seena
    Likha huwa hai bahattar jagah hussain gire
    5.
    Sadayein dete hain akber kaha ho batlao
    Meri Aawaz ka lekar Sahara Aa jao
    Talash karte hain milta nhi magar lasha
    Likha huwa hai bahattar jagah hussain gire
    6.
    Aba se zakhm chupate hain sochkar moula
    Na jane dekhke madar ka haal kya hoga
    Na dekh payegi zakhmi hai laal ka seena
    Likha huwa hai bahattar jagah hussain gire
    7.
    Tadap raha hai jawa,n laal jalti reti par
    Lahu bhi baheta hai zakhmi huwa Ani se jigar
    Hussain dekhke karte hain dast me girya
    Likha huwa hai bahattar jagah hussain gire
    8.
    Likhega kaise wo danish hussain ki gurbat
    Zayif baap uthaye jawaan ki mayyat
    Nawaz sakht hai mere liye bhi ye kahena
    Likha huwa hai bahattar jagah hussain gire

Komentáře • 24