Counseling मे कौन से Documents check होते हैं ।✅ Marksheet मे नाम, DOB, पिता का नाम कैसे सही कराए 🎯

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 18. 02. 2022
  • ➡️ Counseling मे कौन से Documents check होते हैं ।Marksheet मे नाम, DOB, पिता का नाम कैसे सही कराए
    How to correct my marksheet by post
    how to my class 10th marksheet
    how to correct my name in my marksheet
    domicile
    date of birth
    #documentverification
    #domicilecertificate
    #marksheetverification
    #counselling
    #scholaranubhav

Komentáře • 883

  • @Priyanka61968
    @Priyanka61968 Před 2 lety +16

    Sir aapke Sare Videos bahut helpful hote hai... Ek ek Video se hmesha kuch New Sikhne ko milta hai... Itna complete Aur too the Point Bina Time Waste kiye Shayd hi Koi btayega... So Thank You very much 🙏
    When Teacher like You teaches/Guide the students
    They Always leran Without Burden 🌸🙏

  • @ayodhyaprasadchauhan5903

    आदरणीय श्रीमान जी आपका बहुत-बहुत धन्यवाद l आपने बहुत ही सुंदर तरीके से समझाया है ll आभार 🙏

  • @ruchiyadav2166
    @ruchiyadav2166 Před 2 lety +11

    Thanku Sir for this information.... 🙏

  • @Nitinblog2341
    @Nitinblog2341 Před rokem +3

    Sir 12th ke marksheet pe date of birth LC (leaving certificate) ka mention hota hai ya jo form bhara hai us hisab se

  • @jyotisharma.3532
    @jyotisharma.3532 Před 2 lety +3

    Sir kuch doubts abhi bhi h plzzz inhe bhi clear kr dijiyega...🙏🏻🙏🏻🙏🏻😣😣
    1. uptet ka konsa foam sambhal kr rakhna hai, canfermation wala, ya admid card wala.
    2. mene uptet k foam me voter id card as a id lagaya tha. jisme father name nahi h, huswand name h to isse koi dikkat to nahi hogi.
    3. kya me apni shadi ko hide kr skti hu supertet exam k foam me, quki mujhe apne father ka EWS ka foam lagana tha. Jo hubby ki side se nahi lga skti.
    Plzzz ek video mrd girls k liye bhi bna dijiye ki unhe kya kya dikkat ho skti h document se related counseling me. Plzzz sir...🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻😣😣😣😣😣

  • @deshnajain6394
    @deshnajain6394 Před 2 lety +12

    Thankyou very much 💯💯💯

  • @mohdqadeerkhan3100
    @mohdqadeerkhan3100 Před 10 měsíci +3

    Sir Bihar (BPSC) ke application me thoda error ho gya hai UP me graduation ke baad deled hota hai aur Bihar me 12 ke baad to mera bhi form 12 + diploma wale option se fill ho gya hai ab uske liye kya kre kuch solution ho to jarur btaye sir please

  • @pradipgawade2184
    @pradipgawade2184 Před rokem +2

    Sir mere 10 or 12 ke certificate mai dob change hai kya muze Airforce y group ki exam ke form filling karte samay problem aa sakti hai kya agar maine gazzet & affidavits use kiya to vah online form filling keliye applicable hai kya

  • @fashionwithtanu2976
    @fashionwithtanu2976 Před 2 lety +2

    Sir Maine pg kiya hai but B. Ed jb kiya to pg se related koi b document n mention kiya... Na hi tet me lagya to kya aage lagana hoga ya n.. Plz reply

  • @hassanraja3201
    @hassanraja3201 Před rokem +2

    Kya ek baar DV ho jaane k baad v department se dubara check hota h kya .... Jaise cast and residential ye sb block se verify hota h kya

  • @Nirbadhtaiyari
    @Nirbadhtaiyari Před 4 měsíci +3

    Sir mere 10th marksheet me dwivedi ki spelling ye h jabki 12th me divedi hai to isse problem ho skti h kya ise correction krau ya effidevit se kam ho jayega please reply jarur kren

  • @poojaluthaniya4832
    @poojaluthaniya4832 Před rokem +3

    Sir form Barty time hum income Kam Barty hai toh kya problem hoty agy document verification me sir plz btye kunki register k time meny income 2:50 lakh se Kam Bari hai or uski fees 250 thi or 2:50 se uper ki 350 thi toh toh mery papa ki income 2:50 se uper hai so income cirtificate manga hai toh usny ye kaisy thik Kary

  • @nehapriya9424
    @nehapriya9424 Před rokem +3

    If my mother and father name in 12th marksheet and admit card get interchange is there any problem in counciling...

  • @shwetasharma3994
    @shwetasharma3994 Před 2 lety +10

    Thanku sir 💐💐💐

  • @hiteshdhruwe1737
    @hiteshdhruwe1737 Před rokem +6

    Sir, marriage ke bad koi female degree poora krti hai to, candidate name , father name, 10th ke hisab se rahega ya, husband ke hisab se name me badlaav hoga ya nahi

  • @ankitaupadhyay5761
    @ankitaupadhyay5761 Před 2 lety +6

    10th marksheet m Mere father k name m kumar ki jagah mumar ho gya h... Other documents m kumar h
    Kya problem hogi ?
    And aapne kaha ki sudhar krwane m original document dena pdega...
    is it safe ?

  • @divyagupta28
    @divyagupta28 Před 2 lety +2

    Sir 10 th or 12th me mere nam me KM lga hain or graduation me ht gya to form me KM Lgau Ya Ni ?ab married bhi hu pr koi name change ni hua hain bs KM ni lga ..or I'd me bhi KM ni lga h?? . 10 th ke acc. mere father ke name me bhi kumar lga hain spelling change hain pr graduation me spelling different hain or Kumar bhi ni lga hain wo expire ho gye to kumar lgau form bharte smy ya ni.. and 10th me mummy ka ame me ek letter nihain bai 12 me sahi hain name to kya kre??plz ans kijiye? Graduation me jo nam hain wahi post Graduation me bhi kya kru sir?

  • @shilpa_varun
    @shilpa_varun Před 2 lety +4

    10th me total marks kitna dale...mera CCE pattern CGPA system se 10th ki thi...to kitne me se dale..

  • @pragatigupta8867
    @pragatigupta8867 Před rokem +1

    Sir affidavit Puri le liye hota h sir ya fir har bar 6 mahina ya 1 sal me dusra bn wana hoga

  • @Studydsyash
    @Studydsyash Před 2 lety +3

    Sir Father name 10 12 me HARI NANDAN. sAHAY SRIVASTAVA h but Graduation r btc me HARI NANDAN SRIVASTAVA h sahay missing h ...ctet me HARI NANDAN SRIVASTAVA se hi apply kiya h kya super tet me diqquat ho sakti h pls do reply,,🙏🙏🙏 mai bht pareshaan hoon

  • @mithleshwarkumarjain2870

    Mere wife ka sara document shadi k pahle ka hai shadi k baad name change Kiya baad me tet exam me naya name likha hu wahi name Ane Wale vacancy me bhi dala hu verification k time prb hoga kya

  • @shivjikeupay11
    @shivjikeupay11 Před rokem +1

    Sir,
    Mene ek exam me galti se ncc certification wale colom me yes ho gya tha, or results aane k baad pata laga or 10 bounce mark bhi mil gye hai, ab ncc k certificated nhi hai kya kre

  • @reyo-mx7qy
    @reyo-mx7qy Před 2 lety +3

    Sir uptet ke form mai markseet number ke jagah serial number ke niche jo number likha hai wahi bhar diye hai computer wale bhaiya please sir bataiye bad mai koi dikat hogi kya sir

  • @sahilthawait187
    @sahilthawait187 Před 2 lety +2

    Sir mera ghar teen mohalle ke bich me hone ke karan address me thoda differ kar raha hai documents me, mohalle jude hue hai kya ye koi problem kar sakta hai agar ha toh kya karu sir ??

  • @r.k.g5525
    @r.k.g5525 Před 9 měsíci +1

    Sir jee Mai KYP ka 3 month ka kors kiya hai isi month September 2023 me Lekin KYP ke Marks seet me mere Name ka antim speling H ki jagah K ho gaya hai to use kaise sudhar karayenge please Reply

  • @user-nm9xc7sn1s
    @user-nm9xc7sn1s Před rokem +2

    Sir counciling k samaya original lenge ya xray lenge and original lota denge

  • @swinggirl656
    @swinggirl656 Před 2 lety +1

    Sir CBSE board students k liye bhi yahi process hoga kya??
    Plz reply

  • @tanmayandsakshamuniyal7065

    Sir mere documents me sab ek jase hi naam h but aavedan form mane 10 k according bhara tha jisme km h but form me mrs lik diya h

  • @honeyverma5319
    @honeyverma5319 Před rokem

    Sir 10th, 12th m mother name m surname ni h but graduation or baki sbhi m mother name full h to kya ye dikkt ho skti h ? Ya 10th,12th m bhi surname add krwana pdega ? Plz reply

  • @PRITIKUMARI-qz4iw
    @PRITIKUMARI-qz4iw Před 2 lety +2

    Sir agar pahle se affidavit banwa lene se kya problem ho sakti hai, because mere Kumari k badle Kumar aa gaya hai

  • @seemaprajapati5688
    @seemaprajapati5688 Před 2 lety +4

    Sir mere aaddar card me name ke agge husband ka name hai . But
    Mere educational certificate toh nahi hai fir kya kare.

  • @ShivamKumar-px9eo
    @ShivamKumar-px9eo Před 9 měsíci +2

    Sir i have space issue in father's name in 10th Father name is "KAMALAPATI SINGH" but in rest all document(12th,B.A, pan,Aadhar) everywhere is "KAMALA PATI SINGH" Key ye mujhe document verfication me issue create karega

  • @pallavivishnoi7099
    @pallavivishnoi7099 Před 2 lety +1

    Sir CBSE class 12 m 6 subjects hote h..to Plz btaeye ki kon se 5 subject k marks consider kiye jate h 6 m se

  • @chandanigupta9312
    @chandanigupta9312 Před 9 měsíci +2

    Hlw sr mera highschool 2011me complete hua tha,mere 10th k marksheet me mera name-CHANDANI GUPATA ho gya jbki right CHANDANI GUPTA hona chahiye,means GUPTA me ’P’ ke bad ‘A' nahi hona chahiye,aur sr maine jis school se 10 kiya tha vah school ab bnd ho chuka h,to sr mai apne marksheet me kaise correction kra skti hu, plz reply sr😢😢🙏🙏🙏

  • @niharikamishra8543
    @niharikamishra8543 Před 2 lety +2

    Sir CTET ke through super tet form main kaise apply karenge plss tell me agr hum uptet ke marks na lgakr CTET ke lgate h to

  • @ramkishan13188
    @ramkishan13188 Před 8 měsíci +1

    Sir there is different birthplace in my 10th passing certificate and other certificates what to-do sirji

  • @ratnasharmasadiksha284
    @ratnasharmasadiksha284 Před měsícem +1

    Sir 10th 12th marksheet km ratna sharma jbki other sabhi graduation postgraduation sabhi me ratna sharma hai
    To kya is km ka koi frk pdta hai ya nahi

  • @dharanipradhan8532
    @dharanipradhan8532 Před 6 měsíci +1

    Agar ek hi name ussi style me likha ho aur waise hi likha ara hai sabhi certificate me to kya dikkat hai ki nahi abhi bharne wala hu btao koi

  • @adiaadil8252
    @adiaadil8252 Před rokem

    Mera St certificate 2009 ka hn tb hmra tehsil alg tha. Ab kch years pehle hmra teshil chnge hua hn.... Ab domicile ore st certificate p tehsil address different hn....
    certificate p b koi b expiry date nhi h... DV mai koi issue toh nhi hga?

  • @Amar_SinghVlogs
    @Amar_SinghVlogs Před rokem +1

    सर अगर पापा के नाम Kakikraj Kumar ke जगह पर Kalik Raj Kumar होगा गया है ओलाइन करते समय तो क्या प्रॉब्लम होगी काइसलिंग में बिहार नर्स में देना है।

  • @mansiawasthi6334
    @mansiawasthi6334 Před rokem +1

    Sir mere 10,12, graduation ki marksheet me father name Rajendra Kumar likha h but dled aur ctet ki marksheet me Rajendra Kumar Mishra likh gya h to age Job me koi dikkt hogi Kya correction krwana padega Kya sir sir pls rply me

  • @SANDEEPKUMAR-zj7zq
    @SANDEEPKUMAR-zj7zq Před rokem +2

    Sir g mena up tet pass kiya hua but mera 12 vi me 70 % graduation me 42% hai aur bed 67%me Shichak ban sakta hu ki nahi

  • @5-minute_crafts_art
    @5-minute_crafts_art Před 2 lety

    Sir mere marksheet me bord se hi photo print nhi tha but maine alg se chipka k principal se verified krwa li thi kya counselling me iske liye koi dikkat hogi???
    Please answer dijiye.🙏

  • @dudhkumarhazra2182
    @dudhkumarhazra2182 Před 10 měsíci

    sir mere d.el.ed ki certificate may, first name and middle name ki bich koi space nahi hai but 10,12,graduation ki certificate may space hai, iskay liya kay mujhay interview verification pay batil kar daga, sir please 🙏 bataya,

  • @pinkykori6014
    @pinkykori6014 Před 2 lety +2

    Sir mera domicile 2015 ka h ye valid hoga ya new banana padega

  • @akhilsrivastava217
    @akhilsrivastava217 Před 2 lety +1

    Sir agr University name galat ho gya ho to marksheet mein dikhta v nahi to shi karayein ya nahi

  • @Sendy_entertainer
    @Sendy_entertainer Před 2 lety +5

    education documents mai department ki galti hoti to hum logo ko kyo pareshan kiya jata hai

  • @chaudharyyashikapoonia25
    @chaudharyyashikapoonia25 Před měsícem

    Hlo sir mere 10th or 12th ki marksheet m name se aage km likha hai or B.A, B.ed, uptet, ctet m only name h to isse aage jake selection k samay kuch problem hogi kya?

  • @jayhind1998
    @jayhind1998 Před 2 lety

    Sir mere 8th class me date of birth alag hai aur 10th me maine badalwa liya usme alag hai Uske aage sare jagah 10th jaise hi hai
    to kya isse koi dikkat bhi hoga aage chalkar please sir bataega jarur bahut tension me hu kahi job sab ke time 8th ke documents dekhenge to dono alag alag milega

  • @kavitarajput3108
    @kavitarajput3108 Před 2 lety +9

    Thank you so much dear Sir

  • @Manishagungundutta
    @Manishagungundutta Před 2 lety

    Kya new domicil online banvane pr purana ki data remove kr di jati hai.

  • @Myshortvlog22
    @Myshortvlog22 Před rokem +1

    Mere mother ka nam matric me archana kumari hain or inter me archana devi... Title me issue h... Kya mujhe prblm hoga.. Bus title me hi prblm graduation me devi hi h bus matric me kumari... Kya kru baki sab kch sahi haun

  • @Diya-pv1mq
    @Diya-pv1mq Před 2 lety +1

    Sir meri 12th ki mark sheet me mammy papa ke name ke age singh aur Devi nhi laga hai to kya ye bhi thik karana hoga jabki 10th ki marksheet me laga hai

  • @ahirpintu3292
    @ahirpintu3292 Před rokem +1

    सर मेने फॉम भरने में पापा के नाम में स्पेलिंग में मिस्टेक की है तो क्या में रिजेक्ट हो सकती हूं clss ३ ki एग्जाम में।।।

  • @ctetuptetpreparation1192

    Sir father name me LATE laga hai aur spelling mistake hai koi problem hogi kya

  • @neharajput3823
    @neharajput3823 Před 2 lety +1

    Sir mere papa ke name 10 me Ramprsad h or 12 ,graduation ,d el ed , tet me ramprasad h sir 10 ki marksheet me spelling me a ki mistek h kya 10 ki marksheet shi krani hogi please please 🙏🙏🙏🙏 reply sir

  • @kamalsaini7581
    @kamalsaini7581 Před rokem

    sir Mera adharcard or caste certificate me address alg alg h,kya iss se koi problem ho skti h kya counseling me

  • @varshapandeyvarsha6214
    @varshapandeyvarsha6214 Před 9 měsíci

    Sir adhar card me papa ka name middle name Prasad likha h,,baki kisi v record me ni h to kya usse v problem ho skti h , document verification me ??

  • @niharikamishra8543
    @niharikamishra8543 Před 2 lety

    Sir CTET ki to online marksheet ati h to wo valid hogi na....

  • @Teachingwithshveta
    @Teachingwithshveta Před 2 lety +1

    Father name me Virendra prasad tha maurya nhi lga tha jab correction kraye to marksheet me to likh gya lekin net pe nhi show ho rha koi problem hogi kya

  • @priteeprajapati3157
    @priteeprajapati3157 Před rokem +1

    Very very thanks sir

  • @Sendy_entertainer
    @Sendy_entertainer Před 2 lety

    sir meri 10th mai father's name mai HOTI LAL ki jagah HOTE LAL hai.
    aur bhai ki 10th mai HOTI LAL ki jagah MOTI LAL hai. to sir kya counseling mai problem ho skti hai.

  • @ManojYadav-vr3hp
    @ManojYadav-vr3hp Před 11 měsíci

    Sir mrera up b.ed me counseling ho payega kyonki hamare graduation ke marks sheet me maata pita ka naam galat ho gya hai Sahi karane ke liye apane college me apana dacument jama kar diye hai Marks sheet me sansodhan karane me kitane din lagate hai Sir

  • @anmolkumar1017
    @anmolkumar1017 Před 11 měsíci

    Adrees v change karwana hoga kya glti ho to adres v check hota h kya

  • @ravibhooshan4187
    @ravibhooshan4187 Před 2 lety +2

    Tnq sir ji 🙏🙏🙏

  • @user-hb6rh1lr8z
    @user-hb6rh1lr8z Před 2 měsíci

    Sir meri 10th ki Markshit me name ke aage kumari h or baki markshits me(11vi se b.ed) tak ki markshit me name me kumari nahi h to mujhe kya karna pedga...kya sari markshits me kumari add karna padega ya fir 10th ki markshit me kumari hata sakte h kya...plz riply de

  • @anshikamishra7247
    @anshikamishra7247 Před 2 měsíci

    Sir I accidentally uploaded the old( wrong) voter id photo during DSSSB registration. It has my fathers surname twice written on it . What should I do can I correct it ??????

  • @protossc
    @protossc Před 2 lety

    Sir mere mummy ka naam 10,12 marksheet mein raj laxmi hai or graduation ki marksheet par rajlaxmi devi hai to koi problem hogi kya sir aage job ke document verification mein.

  • @___Shruti___
    @___Shruti___ Před rokem

    Sir mere papa ka nam 10th Adhar card sbh gov document me pradeep hy but meri 12th or BE ke provisional degree pr pradip hy sir ky kru me

  • @sonukumarjha7906
    @sonukumarjha7906 Před 2 lety

    Sir ek bat ki jankari de sakte hi 10th ki certificate me jo dob ankit rahti hi vo board me registration bala dob se milan kiya hota hi please reapply sir

  • @priyayadav4998
    @priyayadav4998 Před rokem

    Sir mere 10th aur 12th me naam k aage km h aur khi km ni h ( graduation,btc,tet,id,)...toh kya supertet me km lagana padega ......meri shadi ni hui h

  • @aayushi3324
    @aayushi3324 Před 2 lety +1

    Sir 10 me papa ka name Ramchand Yadav h lekin 12 me Ram chand Yadav h to kya Koi problem hogi. plz sir reply Mai kafi presan hu isko lekr

  • @arpitchaturvedi5300
    @arpitchaturvedi5300 Před 2 lety +1

    Sir mera name dali h but mere b. Ed ke mark sheet me km lg gya h kya koi dikkt ho skti h

  • @manishajha6560
    @manishajha6560 Před 10 měsíci

    Sir niwas certificate m mother's name mein KUMARI laga h aur EWS mein JHA laga h to kya problem hpgo????

  • @kkumarpatairiya99
    @kkumarpatairiya99 Před rokem

    Sir mere 10th aur 12th ki marksheet me mere surname ki spelling change hai aur jis school se maine 10th aur 12th Kiya tha wo school band ho gya hai.madhyq Pradesh board hai mera sir. Ab main kya karun.
    Kya surname ki spelling mistake se mujhe uptet aur Super TET me problem aa skti hai.
    Pls sir mujhe solution btaye

  • @nehajaiswal8224
    @nehajaiswal8224 Před rokem

    Sir Didi ke btc ke marksheet me Papa ke naam ke sath PRASAD aa gya hai jo ki naam 10th , 12th , BA , up tet, c tet kisi me nahi hai sab me Jitendra jaisawal hi hai bad BTC me aisa ho gya to kya ke sir please reply me

  • @anupampal7367
    @anupampal7367 Před 2 lety

    Sir b.sc 1st year and second year me signature change kr skte h koi problem hogi plzz anyone tell me

  • @mansikashyap5718
    @mansikashyap5718 Před rokem

    Sir mere adhar card me 27-11-2003 h lekin 10th aur 12th ki markesheet me dob change h 27-10-2003 kr diya h... Marksheet kese change krau

  • @aspirantStet
    @aspirantStet Před 2 lety

    Hello sir, Sir mere 10th aur baki sbhi result me papa ka nam MOHEBARAR hai lekin mere 12th ke result me MOHAMMAD EBARAR hai to isse dikkat hogi kya sir. Please sir jrur bataye qki mai bhi supertet ki tayyari kr rahi hu mujhe in sbke bare me koi batane wala nhi hai.please.....meri apse humble request hai

  • @PrinceKumar-nf7us
    @PrinceKumar-nf7us Před 2 lety

    Sir b.ed me sasural ke village name likhen or eske pahle graduation me make ke village tha koi dikat nhi hogi n

  • @ankitjaiswal6643
    @ankitjaiswal6643 Před rokem

    Sir meri didi ke BTC wale marksheet me papa ke naam ke saath PRASAD aa gya hai jabki
    Na to high-school me , na intermediate me , na graduation me , aur na hi up tet , ctet me bas BTC wale me papa ke naam ke saath mistake ho gya hai please bataye sir koi problem to nhi hoga government documents verification me
    Kyuki ham log PNP prayagraj me Gaye the to bole ki PRASAD nhi hatega to sir kya kare ham please reply me

  • @rekhavasita6959
    @rekhavasita6959 Před rokem

    Sir document m papa ka naam h aur adhar card m pati k naam h to exam dene m koi problm to ni hogi na

  • @deepayadav6316
    @deepayadav6316 Před rokem

    Sir mera 10 ma or 12 ma father ke name ke pichhe taiytal ka 2 word chhuth gya h to esi government job ma koi dikt

  • @palakuniqueworld4231
    @palakuniqueworld4231 Před 2 lety

    Sir agar mother ka tital galat class 10th and 12th me toh koi issue hoga ?

  • @shabnamparveen1859
    @shabnamparveen1859 Před 10 měsíci

    Sir mera har jgh late k jgh lat Jan Mohammad h but adhar pr Jan Mohammad h to NCL or awashiye pr v Jan Mohammad hu gya h to kya kare cousling time

  • @shivanshabc87
    @shivanshabc87 Před rokem

    Sir kya papa ke name cast me spelling mistake hai 10th ke marksheet me aur 12th me bhi to aur thik bhi nhi ho pa rha to kya mai wahi bharu koi dikkat nhi n hogi

  • @mohdmamoor5620
    @mohdmamoor5620 Před rokem

    Sir single name hone per govt. Job verification m koi problem to nahi hogi

  • @pallobisonowal847
    @pallobisonowal847 Před 6 dny

    Sir mere har documents mein meri maa ka aloh hain aur unke har documents mein woh ek alog naam likhti hai.matlob mere documents mein meri maa ka Naam mismatch nahin hain lekin unke jo documents hain usme woh alog naam likhti hain...kya documents verification ke time mother's ka documents dekha jata hain.aur kahin mujhe hum dono ka documents agar dena pade toh kya karna chahiye mujhe?pls reply

  • @nehabhavsar
    @nehabhavsar Před rokem +9

    Sir thank you very much for this useful and informative video. 🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻👏👏
    Sir need your one favor please
    Sir mere 10+12 ke mark sheets pr sirf name Neha likha he but mere photo pr mera name Neha Bhavsar(Cast) he but aadhaar card pr name Neha Rathor(Surname) he to govt exam ke forms fill krte time agar name Neha Bhavsar ya Neha Rathor dalege to problem Ho sakti he kya pr suggest be ki me form fill Krte time kis name ka Use karu ki mujhe aage problem na aaye
    Aur mere Cast Certificate pr mera name Neha Bhavsar hi he.
    Please suggest me i waiting for your reply
    Thank you sir for this useful video 🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻

    • @jr17127
      @jr17127 Před rokem

      Ma'am apko answer Mila
      I also have something like that mera issue kumari ka h results me kumari jyoti rai hai or adhar pan ctet uptet and graduation degree me only jyoti rai h
      Mai forms bhi job k adhar k according jyoti rai hi fill krti hu

  • @santoshjeengar3016
    @santoshjeengar3016 Před 2 lety

    Mere sabhi marksheet or id me nam ak jese hai pr mere father ke aadhar me change hai mere aadhar me to marksheet or id ke jese hi hai bs unke aadhar me alag hai to kya.problem hogi.

  • @SahilYadav-we7gd
    @SahilYadav-we7gd Před 5 měsíci +2

    Sir ji mere school wala principal application nhi likha Raha hai please reply sir

  • @jaytiguper2465
    @jaytiguper2465 Před 2 měsíci

    Sir plz reply counselling me Mummy papa ke adhar bhi check hote h ky..plz help

  • @bajrangvipstudy5772
    @bajrangvipstudy5772 Před rokem

    Sir mere 10th 12th markseet me father s name RAM SUNDAR KUSHWAH hai lekin BSC Me RAMSUNDER KUSHWAH hai to verification me koi dikkat hogi Kya please bataye spes or E kee galty se koi dikkat aayegy kya

  • @dreamupsc1110
    @dreamupsc1110 Před 4 měsíci +1

    Mera sirf nivas Patra me mata ka naam indu ka endu ho gaya hai? Kya kare sir🙏🙏

  • @ruchirai270
    @ruchirai270 Před 2 lety

    Sir UPTET s.r no ki jgh certificate no fill ho gya hai koi problem to nhi hogi n??

  • @relaxingmusic-pl1do
    @relaxingmusic-pl1do Před rokem

    mere name ke agye 10th class m (km priya ) hai aur ssc form m maine bs priya likha to kuch problem hogye kuke form submit hogya hai ssc gd ka plz advice me

  • @praveenpathak7411
    @praveenpathak7411 Před 2 lety

    Sir Mera nivash paraman patra mere village Gorakhpur ka hai aur mai lko me raheta hu aur form me maine lko ke makan ka hi address diya tha to kya mai gorkhpur ka nivash use kar sakta hu counselling time pe 🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏

  • @MrHmm-cf9ls
    @MrHmm-cf9ls Před rokem

    Sar mere sari marksit me sirf name hi likha h cust ad nhi hua h our aadhar me ad h to kiya sar aadhar ke nusar change kranara padega

  • @sssasmr6490
    @sssasmr6490 Před 2 lety +2

    Sir cbse board wale kaise sahi kraye marksheet 10 wali...plzzz rply

  • @rajusahu6685
    @rajusahu6685 Před rokem +1

    Sir ji
    5th and 8th ka marksheet ki need nahi hoti kya?