ALAG AASMAAN | ANUV JAIN | but it's RAINING SLOWED + REVERB

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 5. 09. 2024
  • Nayi nahi hain yeh baatein wahi
    Phir is modh par hum milein hain
    Na jaane ab milenge hum kabhi
    Toh ruk jao ik pal yahan pe
    Yeh narm chadaron ki silvatein
    Tujhe abhi bula rahin hain
    Na jao duur insein yeh kahein
    Yeh sukoon kahan pe hai hasil?
    Dil ko mere yeh hai pata
    Ke milon ka yeh faasla hai
    Alag Aasmaan bhi hai toh kya?
    Yeh dil na manay
    Yeh gaadiyon ki aisi daudh sa
    Tera bhi dil daudhta hai
    Ha ja rahe ho duur tum toh kya?
    Main hi toh dil ka musafir
    Toh ik baar phir tu haske zara
    Dekh le meri in aankhon mein
    Main kaid kar loon har woh pal tera
    Teri yeh baatein, Jo hain
    Toh aur kya hai yeh baatein bata?
    Kyun ab din bhi dhalta nahin yeh na ho toh?
    Tum udhe ja rahe
    Yeh aasmaan mein khidkiyon se dekh tu pahadon ko
    Yoon chote se lagay
    Hai kitne bade jo ho samne
    Durr jo hai khade
    Unhe bhi ye humari zindagi
    Yoon titliyon si choti choti si lage
    Hai kitni badi nahi jaante
    Khaali ghar tera
    Yeh chabiyon ki goonj aise
    Tujhe dara rahi, tu darna nahi
    Main hoon yahin par
    Ab Alag Aasmaan hai
    Aur hai zameen bhi kuch alag si
    Par miloge jab kabhi, toh dekhna tabhi
    Main kuch alag nahi

Komentáře • 57