A visit to Jhelum to meet Baba Irfan Ul Haq sb

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 7. 09. 2024
  • BABA Irfan Ul Haq Sb
    Assalamaualaikum Guys umeed hai aap sab khairyat say hongay,
    Guys aaj hum ja rahay hain Baba Irfan ul Haq sahib kay dairay mei
    Baba Irfan ul Haq Sahab ka dera Jehlum Sheher mei waqia hai
    Jehlum Pakistan ka 144 wa bada sheher hai
    Yaha per kuch tareekhi maqamaat bhi hain
    Jaisay k Rohtas Fort, Khewra Salt mine, Mangla Dam waghaira
    Islamabad / Rawalpindi say jehlum sheher ka safar taqreeban 115 kilometer ka hai
    Is safar k doran aap ka guzar rawat, phir mandra, gujar khan, sohawa, Dina or Phir Jehlum
    Raastay mei 2 toll plazas aayengay aik Mandra mei or aik Tarraki mei
    So guys ab hum baat kartay hain Baba Irfan Ul Haq Sb k baray mei
    Mera safar in ki tarf kuch zaati haisyat say tha aur jis maqsad k liye waha gaye wo maqsad almost poora hua
    Baba Irfan ul Haq sahib 14 August 1946 mei Najeebabad Uttar Pradesh India mei paida huay, Indo Pak k baad aap ka gharana Jehlum mei muntaqil hua or yehi say aap nay apni taleem mukammal ki. Aap 1994 say insaniyat ki khidmat kar rahay hain, rohani tor per bhi or jismani tor per bhi duao or wazeefo ki madad say, aap is k sath sath desi khoraak bhi tajweez kartay hain. Aap deeni taleemat bhi detay hain or kai kitaben bhi is silsilay mei aap nay likhi hui hain jaisa k “ALLAH k waaday Momin say”, “Tazkia”, “ALLAHUSSAMAD” waghaira. Qasim Ali Shah sahib nay bhi un say interviews kiye huay hain, aap PTV mei Islam k hawalay say dars ka amal bhi dia kartay thay.
    #allah
    #rasool
    #quran
    #babairfanulhaq
    #qasimalishah
    #fanzplanet
    ‪@fedoo2021‬

Komentáře • 2