Binte zehra ne Bhare ghar ka Ujadhna dekha Nauha Lyrics

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 6. 09. 2024
  • Nauha Lyrics
    Binte zehra ne Bhare ghar ka Ujadhna dekha
    Apne pyaro ka tahe tegh tadapna dekha
    Binte zehra ne Bhare ghar ka Ujadhna dekha
    Ay Hussain Aap ki Himmat pa zameen kaamp gayi
    Apne haathon pa jab Asghar ka tadapna dekha
    Binte zehra ne Bhare ghar ka Ujadhna dekha
    Jaan hi dedi Alamdar ne paani ke liye
    Pyaas se Jab ke sakina ka bhilakna dekha
    Binte zehra ne Bhare ghar ka Ujadhna dekha
    Haaye kya waqt tha kin aankhon se laila tumne
    Naujawan Bete ka Duniya se guzarna dekha
    Binte zehra ne Bhare ghar ka Ujadhna dekha
    Khoon bahate hue Aankhon se har ek zarre me
    Fathima aapki aulad ka lutna dekha
    Binte zehra ne Bhare ghar ka Ujadhna dekha
    Thamkar Dil Dar e Khaima se dame asr Ali
    Baap se beti ka zainab ne bichadna dekha
    Binte zehra ne Bhare ghar ka Ujadhna dekha

Komentáře • 1