Naam Hai Mera Sakina Mai Hoon Bint E Shabbir || Manqabat || Qasida || Ghulaman e 14 Masoomeen

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 30. 07. 2023
  • Naam Hai Mera Sakina Mai Hoon Bint E Shabbir
    #GhulamanE14Masoomeen

Komentáře • 5

  • @Zak29340
    @Zak29340 Před 5 měsíci

    Mashallaha

  • @komal_Z
    @komal_Z Před 5 měsíci

    Beautiful voice 👍👍👍

  • @_jennie_qt
    @_jennie_qt Před 5 měsíci

    Masha Allah Jazak Allah salamat rahen sarey maulayee🎉🎉

  • @sohilterwadiya529
    @sohilterwadiya529 Před 5 měsíci +1

    Naam hai Mera sakina Mai hun binte shabbir
    Qalam e Noor se likhi gayi meri taqdir
    Mere baba ki zamane me nahi koi nazir
    Moh e Quran e mubeen our Mai uski tafseer
    Fakhr iss baat pe hai barsar e Seena mai hu
    Sabr sarvar ki anguthi ka Nagina mai hun
    Mere baba hai hussain our hai dada Haider
    Dadi zahra hai to naana hai shafi e maheshar
    Bhai sajjad hai akbar hai our hai asgar
    Ek hi Abbas hai our doosre ammu shabbar
    Karbala meri Najaf mera madina Mera
    Mukhtesar ye hai ki hai naam sakina mera
    Koi kahede mera Bhai Ali Asgar roya
    Hurmala roya teri foj ka afsar roya
    Tir bhi roya hai talwar bhi khanjar roya
    Zikr ek do ka nahi Sara hi lashaqar roya
    Ek tabsoom se teri foj ko woh maar Gaya
    Jang chhe mah ki besheer se tu haar gaya
    Fazla mai hun fazail bhi fazilat mai hu
    Hun Mai aqram kareema bhi qaramat mai hun
    Shahe qounain ke bete ki zaroorat mai hun
    Par ziyarat meri shabbirki bad'at mai hu
    Mai bhi bigadi huwi taqdeer bana sakti hun
    Apni thoukar se mai murde ko jila sakti hun
    Farsh e majlis meri khwaish hai Bichhai rakhana
    Apni palko pe sada ashaq sajai rakhana
    Taziya sar pe Alam dil se lagai rakhna
    Apni palko pe sada ashaq sajai rakhana
    Koun kaheta hai batil hai tumhare aasu'n
    Khuld mai rakhne ke qabil hai tumhare aasu'n
    Ay musibat ke girftaar paresha'n na ho
    Khaq ho jayege sab khar paresha'n na ho
    Honge sab raste aasan paresha'n na ho
    Mere baba ke Azadar paresha'n na ho
    Bahere imdad tere paas chale aainge
    De mera wasta Abbas chale aainge