Ishq Me Tere Kohe Gham | Kalaam | Huzur Qibla Hazrat Shah Niyaz Ahmad R.A

Sdílet
Vložit
  • čas přidán 8. 02. 2019
  • Ishq mein tere kohe gham, sar pe liya jo ho so ho
    Aish'o nishaat'e zindagi, chhod diya jo ho so ho
    Mujh se mareez ko tabiib,haath too apna mat lagaa
    Isko khuda pe chod de,bahr'e khuda jo ho so ho
    Aql ke madrase se uth, ishq ke maikade mein aa
    Jaam'e fanaa'o bekhudi, ab to piya jo ho so ho
    Hijr ki jo museebatein arz kiin uske rubaru
    Naaz'o adaa se muskura kehne lagaa jo ho so ho
    Hasti ke is saraab mein raat ki raat bas rahe
    Subh'e adam huaa numoo, paaon uthaa jo ho so ho
    Dunia ke nek'o bad se kaam, humko niyaz kuch nahin
    Aap se jo guzar gaya, use kia jo ho so ho
    Kalaam | Huzur Qibla Hazrat Shah Niyaz Ahmad R.A
  • Hudba

Komentáře • 12